man arafa nafsahu
raushnī kī ek nannhī sī lakīr
mere kamre ke añdhere kā badan
chupke chupke TaToltī hai
jis tarah habshī hasīna ke Dhale
sandal ke se
ābnūsī jism ke a.asāb meñ
tez suuī kī achānak ik chubhan
sarsarāte saañp kī mānind dauḌātī hai ḳhuuñ
jhanjhanā uThte haiñ saare tār-o-pū
aur phir āhista āhista kahīñ
zer-e-sat.h-e-jān-o-dil
ye talātum
ruk ke so jaatā hai
ya.anī
azhdar-e-āsūda-ḳhātir kī tarah
ḳhvāb-noshīñ ke uḌātā hai maze
phir bhī lekin
ik ġhubār-e-intizār
mere kamre kī fazā meñ
misl-e-āb-e-siyāh raushan hai
jaise tārīkī ḳhud apnī tah tak
pahuñchne ko bechain ho
is liye
raushnī kī is añgusht-e-be-rahm kā
ḳhair-maqdam kare
azhdar-e-āsūda-ḳhātir ko jagā.e
dard ye hai
mere kamre kā añdherā kabhī ik baar musaḳhḳhar nahīñ ho paatā
naqsh-e-tārīk munavvar nahīñ hone paatā
koī gosha
kabhī raushan
kahīñ gosha koī
ujle kapḌoñ kī qatāroñ se laTakte hue injīr ke ḳhoshe
raakh ke Dher
ġhalāzat ke kueñ
sone chāñdī ke damakte hue phal
raushnī
yā tez suuī
yā talātum
jo bhī ho tum
tīrgī ko is tarah se munqasim
tum jo kar dete ki dīvāroñ kā rañg
saaf khil uThtā to apne ko bhī in meñ mun.akis maiñ dekh letā
raushni ki ek nannhi si lakir
mere kamre ke andhere ka badan
chupke chupke TaTolti hai
jis tarah habshi hasina ke Dhale
sandal ke se
aabnusi jism ke aasab mein
tez sui ki achanak ek chubhan
sarsaraate sanp ki manind dauDati hai KHun
jhanjhana uThte hain sare tar-o-pu
aur phir aahista aahista kahin
zer-e-sath-e-jaan-o-dil
ye talatum
ruk ke so jata hai
yani
azhdar-e-asuda-KHatir ki tarah
KHwab-noshin ke uData hai maze
phir bhi lekin
ek ghubar-e-intizar
mere kamre ki faza mein
misl-e-ab-e-siyah raushan hai
jaise tariki KHud apni tah tak
pahunchne ko bechain ho
is liye
raushni ki is angusht-e-be-rahm ka
KHair-maqdam kare
azhdar-e-asuda-KHatir ko jagae
dard ye hai
mere kamre ka andhera kabhi ek bar musaKHKHar nahin ho pata
naqsh-e-tarik munawwar nahin hone pata
koi gosha
kabhi raushan
kahin gosha koi
ujle kapDon ki qataron se laTakte hue injir ke KHoshe
rakh ke Dher
ghalazat ke kuen
sone chandi ke damakte hue phal
raushni
ya tez sui
ya talatum
jo bhi ho tum
tirgi ko is tarah se munqasim
tum jo kar dete ki diwaron ka rang
saf khil uThta to apne ko bhi in mein munakis main dekh leta
- Book : Ganj e Sokhta (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.