man ka andhera
insān ko bhagvān nazar aa.egā kyūñ-kar
raushan ke liye nainoñ meñ shaktī hī nahīñ hai
bhaktoñ kī nigāhoñ se vo chhuptā nahīñ lekin
afsos ki sansār meñ bhaktī hī nahīñ hai
hoñToñ pe haiñ nirvān kī aur gyaan kī bāteñ
siine kī guphāoñ meñ hai pāpoñ kā baserā
puujā ke liye sab ne jalā rakkhe haiñ dīpak
mandir meñ ujālā hai magar man meñ añdherā
insan ko bhagwan nazar aaega kyun-kar
raushan ke liye nainon mein shakti hi nahin hai
bhakton ki nigahon se wo chhupta nahin lekin
afsos ki sansar mein bhakti hi nahin hai
honTon pe hain nirwan ki aur gyan ki baaten
sine ki guphaon mein hai papon ka basera
puja ke liye sab ne jala rakkhe hain dipak
mandir mein ujala hai magar man mein andhera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.