man ka rog
un bin rahā na jaa.e sakhī rī un bin rahā na jaa.e
ab ke sāvan meñ aane kā un ne vachan diyā thā
tār-e-ashk se ham ne ab tak man kā chaak siyā thā
merī aashā arī sakhī bujhtā sā ek diyā thā
ek baras hone ko aaya shyām na ab tak aa.e
un bin rahā na jaa.e sakhī rī un bin rahā na jaa.e
saañs rukā siine meñ jab maiñ bhūle se muskā.ī
rote rote phail ga.ī hai kājal kī kajrā.ī
aisā jiinā bhī jiinā hai maiñ dukhiyā ghabrā.ī
bāteñ karte karte ab āvāz mirī tharrā.ī
un bin rahā na jaa.e sakhī rī un bin rahā na jaa.e
maut hai mere kāran jiinā itne haiñ afkār
laakh bhulāyā phir bhī vo yaad aa.e bāram-bār
ġhair pe kyā apne par merā rahā nahīñ adhikār
koī ye samjhā.e mujh ko kaun mujhe samjhā.e
un bin rahā na jaa.e sakhī rī un bin rahā na jaa.e
aao pirītam pyāre aao sun lo jī ke bain
biit gayā hai din taḌpan kā aa.ī dukh kī rain
nabzeñ ruk ruk sī jaatī haiñ chhalak paḌe haiñ nain
Dol rahī hai man kī nayyā aur aañsū bhar aa.e
un bin rahā na jaa.e sakhī rī un bin rahā na jaa.e
un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae
ab ke sawan mein aane ka un ne wachan diya tha
tar-e-ashk se hum ne ab tak man ka chaak siya tha
meri aasha ari sakhi bujhta sa ek diya tha
ek baras hone ko aaya shyam na ab tak aae
un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae
sans ruka sine mein jab main bhule se muskai
rote rote phail gai hai kajal ki kajrai
aisa jina bhi jina hai main dukhiya ghabrai
baaten karte karte ab aawaz meri tharrai
un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae
maut hai mere karan jina itne hain afkar
lakh bhulaya phir bhi wo yaad aae baram-bar
ghair pe kya apne par mera raha nahin adhikar
koi ye samjhae mujh ko kaun mujhe samjhae
un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae
aao piritam pyare aao sun lo ji ke bain
bit gaya hai din taDpan ka aai dukh ki rain
nabzen ruk ruk si jati hain chhalak paDe hain nain
Dol rahi hai man ki nayya aur aansu bhar aae
un bin raha na jae sakhi ri un bin raha na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.