man lahraya
bādal uupar bādal aayā
chhājoñ barsā aise chhāyā
rut lahrā.ī man lahrāyā
ham ne apnī badlī kaayā
khele kuude rañg jamāyā
bhīge-bhāge ḳhuub nahāyā
bhuTTe vaalā bhuTTe laayā
dekh ke jis ko jī lalchāyā
aag meñ bhūnā namak lagāyā
lemuu. Daalā maze se khāyā
baadal upar baadal aaya
chhajon barsa aise chhaya
rut lahrai man lahraya
hum ne apni badli kaya
khele kude rang jamaya
bhige-bhage KHub nahaya
bhuTTe wala bhuTTe laya
dekh ke jis ko ji lalchaya
aag mein bhuna namak lagaya
lemu Dala maze se khaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.