man tu shudam tu man shudi
maiñ agar ḳhaak
to hai aab mirī
tū hai tābīr
maiñ huuñ ḳhvāb tirā
tū agar aag
maiñ havā kā shor
tū zamīñ merī
maiñ tirā ākāsh
maiñ tirā jism
tū hai ruuh mirī
ishq merā hai reg-zāroñ sā
husn terā hai ābshāroñ sā
to himāla kī pur-fazā vaadī
maiñ samundar kī tarah āzādī
aur kis kis tarah se kyā bolūñ
ain fitrat ke raaz kyā kholūñ
ye man o tū kā farq hī shāyad
ham se letā hai imtihāñ jānāñ
āḳhirī ye fasīl gir jaa.e
phir to hai vasl-e-jāvedāñ jānāñ
ik fanā apnī ibtidā jānāñ
ik fanā apnī intihā jānāñ
main agar KHak
to hai aab meri
tu hai tabir
main hun KHwab tera
tu agar aag
main hawa ka shor
tu zamin meri
main tera aakash
main tera jism
tu hai ruh meri
ishq mera hai reg-zaron sa
husn tera hai aabshaaron sa
to himala ki pur-faza wadi
main samundar ki tarah aazadi
aur kis kis tarah se kya bolun
ain fitrat ke raaz kya kholun
ye man o tu ka farq hi shayad
hum se leta hai imtihan jaanan
aaKHiri ye fasil gir jae
phir to hai wasl-e-jawedan jaanan
ek fana apni ibtida jaanan
ek fana apni intiha jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.