manafi shuur ka ek waraq
kyā is nizām ko jagīr-dār badlegā?
jo
mere vote se muntaḳhab hotā hai
aur
mere ḳhvāboñ par tex lagātā hai
kyā
is nizām ko sarmāya-dār badlegā?
jo
mujh se baara ghanTe kī begār letā hai
magar
aaTh ghanTe kī ujrat dene par bhī tayyār nahīñ!
kyā dānish-var is nizām ko badal saktā hai?
magar vo to
ek plot yā ġhair-mulkī daure ke evaz
hukmarānoñ ke liye luġhat meñ se satā.ishī alfāz
jam.a kartā rahtā hai!
tājir is nizām ko kaise badlegā?
vo to bajaT kī tamām murā.āt sameT kar
saarī mahñgā.ī
mere khāte meñ darj kar detā hai
siyasat-dān is nizām kā muhāfiz kyuuñ na ho!
ki us kī barkat se
vo sarkārī schōl aur dispensary meñ apnī bhaiñs bāñdh saktā hai
aur
saaya dene vaale ġhair-sarkārī daraḳht ke nīche
class lene vaale ziddī teacher ko
apnī pajero se bāñdh kar ghasīTe jaane kī dhamkī detā hai
maiñ ne
sahāfī se is nizām ko badalne kī darḳhvāst kī
magar vo
thāna muharrir ke paas baiTh kar chaa.e piine aur ḳhabreñ likhne meñ magan thā
ye sab jānte hue
maiñ agle pāñch saal ke liye
apnā chehrā apne halqe ke paTvārī ko de dūñgā
jo use
aks-e-shajra meñ lapeT kar rakh legā
aur
vote kī parchī par merā añgūThā ḳhud hī lagā legā
kya is nizam ko jagir-dar badlega?
jo
mere wote se muntaKHab hota hai
aur
mere KHwabon par tex lagata hai
kya
is nizam ko sarmaya-dar badlega?
jo
mujh se bara ghanTe ki begar leta hai
magar
aaTh ghanTe ki ujrat dene par bhi tayyar nahin!
kya danish-war is nizam ko badal sakta hai?
magar wo to
ek plot ya ghair-mulki daure ke ewaz
hukmaranon ke liye lughat mein se sataishi alfaz
jama karta rahta hai!
tajir is nizam ko kaise badlega?
wo to bajaT ki tamam muraat sameT kar
sari mahngai
mere khate mein darj kar deta hai
siyasat-dan is nizam ka muhafiz kyun na ho!
ki us ki barkat se
wo sarkari school aur dispensary mein apni bhains bandh sakta hai
aur
saya dene wale ghair-sarkari daraKHt ke niche
class lene wale ziddi teacher ko
apni pajero se bandh kar ghasiTe jaane ki dhamki deta hai
main ne
sahafi se is nizam ko badalne ki darKHwast ki
magar wo
thana muharrir ke pas baiTh kar chae pine aur KHabren likhne mein magan tha
ye sab jaante hue
main agle panch sal ke liye
apna chehra apne halqe ke paTwari ko de dunga
jo use
aks-e-shajra mein lapeT kar rakh lega
aur
wote ki parchi par mera anguTha KHud hi laga lega
- Book : Duniyazad (Pg. 160)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.