mann-o-salwa
''ḳhudā-e-bartar
ye dariyūsh-e-buzurg kī sarzamīñ
ye nau-shervān-e-ādil kī dād-gāheñ
tasavvuf o hikmat o adab ke nigār-ḳhāne
ye kyuuñ siyah-post dushmanoñ ke vajūd se
aaj phir ubalte hue se nāsūr ban rahe haiñ?''
ham is ke mujrim nahīñ haiñ jān-e-ajam nahīñ haiñ
vo pahlā añgrez
jis ne hindostāñ ke sāhil pe
lā ke rakkhī thī jins-e-saudā-garī
ye us kā gunāh hai
jo tire vatan kī
zamīn-e-gul-posh ko
ham apne siyāh qadmoñ se rauñdte haiñ!
ye shahr apnā vatan nahīñ hai
magar farañgī kī rahzanī ne
isī se nā-chār ham ko vābasta kar diyā hai
ham is kī tahzīb kī bulandī kī chhipkilī ban ke rah ga.e haiñ
vo rāhzan jo ye sochtā hai
''ki asia hai koī aqiim o amiir beva
jo apnī daulat kī be-panāhī se mubtalā ik fishār meñ hai
aur us kā āġhosh-e-ārzū-mand vā mire intizār meñ hai
aur eshiyā.ī
qadīm ḳhvāja-sarāoñ kī ik nazhād-e-kāhil
ajal kī rāhoñ pe tez-gāmī se jā rahe haiñ''
magar ye hindī
gurisna o pā-barahna hindī
jo sālik-e-rāh haiñ
magar rāh-o-rasm-e-manzil se be-ḳhabar haiñ
gharoñ ko vīrān kar ke
lākhoñ sa.ūbateñ sah ke
aur apnā lahū bahā kar
agar kabhī sochte haiñ kuchh to yahī
ki shāyad unhī ke baazū
najāt dilvā sakeñge mashriq ko
ġhair ke be-panāh biphre hue sitam se
ye sochte haiñ:
ye hādsa hī ki jis ne pheñkā hai
lā ke un ko tire vatan meñ
vo aañch ban jaa.e
jis se phuñk jaa.e
vo jarāsīm kā akhāḌā
jahāñ se har baar jañg kī bū-e-tund uThtī hai
aur duniyā meñ phailtī hai!
maiñ jāntā huuñ
mire bahut se rafīq
apnī udaas be-kār zindagī ke
darāz o tārīk fāsloñ meñ
kabhī kabhī bheḌiyoñ ke mānind
aa nikalte haiñ rahguzāroñ pe
justujū meñ kasī ke do ''sāq-e-sandalīñ'' kī
kabhī darīchoñ kī oT meñ
nā-tavāñ patiñgoñ kī phaḌphaḌāhaT pe
hosh se be-niyāz ho kar vo TūTte haiñ
vo dast-e-sā.il
jo sāmne un ke phailtā hai
is aarzū meñ
ki un kī baḳhshish se
pāra-e-nān mann-o-salvā kā ruup bhar le
vahī kabhī apnī nāzukī se
vo rah sujhātā hai
jis kī manzil pe shauq kī tishnagī nahīñ hai!
tū in manāzir ko dekhtī hai!
tū sochtī hai:
ye sañg-dil apnī buz-dilī se
firañgiyoñ kī mohabbat-e-nā-ravāñ kī zanjīr meñ bañdhe haiñ
inhī ke dam se ye shahr ubaltā huā sā nāsūr ban rahā hai!
mohabbat-e-nāravā nahīñ hai
bas ek zanjīr
ek hī āhanī kamand-e-azīm
phailī huī hai
mashriq ke ik kināre se dūsre tak
mire vatan se tire vatan tak
bas ek hī ankabūt kā jaal hai ki jis meñ
ham eshiyā.ī asiir ho kar taḌap rahe haiñ
muġhūl kī sub.h-e-ḳhūñ-fishāñ se
farañg kī shām-e-jāñ-sitāñ tak!
taḌap rahe haiñ
bas ek hī dard-e-lā-davā meñ
aur apne ālām-e-jāñ-guzā ke
is ishtirāk-e-girāñ-bahā ne bhī
ham ko ik dūsre se ab tak
qarīb hone nahīñ diyā hai!
KHuda-e-bartar
ye dariyush-e-buzurg ki sarzamin
ye nau-sherwan-e-adil ki dad-gahen
tasawwuf o hikmat o adab ke nigar-KHane
ye kyun siyah-post dushmanon ke wajud se
aaj phir ubalte hue se nasur ban rahe hain?
hum is ke mujrim nahin hain jaan-e-ajam nahin hain
wo pahla angrez
jis ne hindostan ke sahil pe
la ke rakkhi thi jins-e-sauda-gari
ye us ka gunah hai
jo tere watan ki
zamin-e-gul-posh ko
hum apne siyah qadmon se raundte hain!
ye shahr apna watan nahin hai
magar farangi ki rahzani ne
isi se na-chaar hum ko wabasta kar diya hai
hum is ki tahzib ki bulandi ki chhipkili ban ke rah gae hain
wo rahzan jo ye sochta hai
ki asia hai koi aqim o amir bewa
jo apni daulat ki be-panahi se mubtala ek fishaar mein hai
aur us ka aaghosh-e-arzu-mand wa mere intizar mein hai
aur eshiyai
qadim KHwaja-saraon ki ek nazhad-e-kahil
ajal ki rahon pe tez-gami se ja rahe hain
magar ye hindi
gurisna o pa-barahna hindi
jo salik-e-rah hain
magar rah-o-rasm-e-manzil se be-KHabar hain
gharon ko viran kar ke
lakhon saubaten sah ke
aur apna lahu baha kar
agar kabhi sochte hain kuchh to yahi
ki shayad unhi ke bazu
najat dilwa sakenge mashriq ko
ghair ke be-panah biphre hue sitam se
ye sochte hain:
ye hadsa hi ki jis ne phenka hai
la ke un ko tere watan mein
wo aanch ban jae
jis se phunk jae
wo jarasim ka akhaDa
jahan se har bar jang ki bu-e-tund uThti hai
aur duniya mein phailti hai!
main jaanta hun
mere bahut se rafiq
apni udas be-kar zindagi ke
daraaz o tarik faslon mein
kabhi kabhi bheDiyon ke manind
aa nikalte hain rahguzaron pe
justuju mein kasi ke do saq-e-sandalin ki
kabhi darichon ki oT mein
na-tawan patingon ki phaDphaDahaT pe
hosh se be-niyaz ho kar wo TuTte hain
wo dast-e-sail
jo samne un ke phailta hai
is aarzu mein
ki un ki baKHshish se
para-e-nan mann-o-salwa ka rup bhar le
wahi kabhi apni nazuki se
wo rah sujhata hai
jis ki manzil pe shauq ki tishnagi nahin hai!
tu in manazir ko dekhti hai!
tu sochti hai:
ye sang-dil apni buz-dili se
firangiyon ki mohabbat-e-na-rawan ki zanjir mein bandhe hain
inhi ke dam se ye shahr ubalta hua sa nasur ban raha hai!
mohabbat-e-narawa nahin hai
bas ek zanjir
ek hi aahani kamand-e-azim
phaili hui hai
mashriq ke ek kinare se dusre tak
mere watan se tere watan tak
bas ek hi ankabut ka jal hai ki jis mein
hum eshiyai asir ho kar taDap rahe hain
mughul ki subh-e-KHun-fishan se
farang ki sham-e-jaan-sitan tak!
taDap rahe hain
bas ek hi dard-e-la-dawa mein
aur apne aalam-e-jaan-guza ke
is ishtirak-e-giran-baha ne bhi
hum ko ek dusre se ab tak
qarib hone nahin diya hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.