mannat
ek hī saal huā hai sabhī vaisā hī hai
aur tire mere sivā shahr meñ badlā kyā hai
vahī saḌkeñ vahī galiyāñ vahī raste saare
vahī hotel vahī Thele vahī phūloñ kī dukāñ
aur kuchh der zarā ruk ke agar dekheñ to
āte-jāte hue sab log shanāsā hī lageñ
āThoñ bāzār mazāfāt ko ruḳhsat kartā
ghanTa-ghar aaj bhī istāda o masrūf vahīñ
aaTh bāzāroñ ke izhdihām se bāhar aa kar
vahī dargāh kī dīvār se lipTā pīpal
jis kī shāḳhoñ se bañdhe lākhoñ hazāroñ dhāge
yaad hai pichhle baras
ham ne bhī bāñdhī thī vahīñ
sabz dhāge meñ piroī huī mannat koī
usī mannat ke hare dhāge ko aadhā karke
tum ne bāñdhā thā mirī zard kalā.ī par bhī
tum ko mā'lūm hai
yā tum ne sunā to hogā
vo jo dargāh vahāñ hotī thī
ab bhī hai vahīñ
usī dīvār se lipTā vo muqaddas pīpal
us kī jis shāḳh pe mannat kī girah bāñdhī thī
mire baazū kī tarah
suukh ga.ī hai vo bhī
ek hi sal hua hai sabhi waisa hi hai
aur tere mere siwa shahr mein badla kya hai
wahi saDken wahi galiyan wahi raste sare
wahi hotel wahi Thele wahi phulon ki dukan
aur kuchh der zara ruk ke agar dekhen to
aate-jate hue sab log shanasa hi lagen
aaThon bazar mazafat ko ruKHsat karta
ghanTa-ghar aaj bhi istada o masruf wahin
aaTh bazaron ke izhdiham se bahar aa kar
wahi dargah ki diwar se lipTa pipal
jis ki shaKHon se bandhe lakhon hazaron dhage
yaad hai pichhle baras
hum ne bhi bandhi thi wahin
sabz dhage mein piroi hui mannat koi
usi mannat ke hare dhage ko aadha karke
tum ne bandha tha meri zard kalai par bhi
tum ko ma'lum hai
ya tum ne suna to hoga
wo jo dargah wahan hoti thi
ab bhi hai wahin
usi diwar se lipTa wo muqaddas pipal
us ki jis shaKH pe mannat ki girah bandhi thi
mere bazu ki tarah
sukh gai hai wo bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.