kabhī hāthoñ se uḌātā huuñ, kabhī mārtā huuñ
vaqt be-rañg se kiiḌe kī tarah
dast-o-bāzū pe mire
reñgtā rahtā hai din bhar
raat bosīda razā.ī kī tarah oḌhe hue
aur nāḳhūnoñ se tāroñ ko khurachte rahnā
chāñd bhī ek phaphūñdī lagī roTī kī tarah sar pe Tañgā rahtā hai
kaise kaaTe koī bīmārī meñ bekārī ke din?
ulTī laTkī huī botal se utartī huī phīkī būñdeñ...
dast-o-bāzū meñ mire
reñgtī rahtī haiñ din bhar
ek be-rañg se kiiḌe kī tarah!
kabhi hathon se uData hun, kabhi marta hun
waqt be-rang se kiDe ki tarah
dast-o-bazu pe mere
rengta rahta hai din bhar
raat bosida razai ki tarah oDhe hue
aur naKHunon se taron ko khurachte rahna
chand bhi ek phaphundi lagi roTi ki tarah sar pe Tanga rahta hai
kaise kaTe koi bimari mein bekari ke din?
ulTi laTki hui botal se utarti hui phiki bunden
dast-o-bazu mein mere
rengti rahti hain din bhar
ek be-rang se kiDe ki tarah!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 358)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.