manzar pas manzar
guzarte lamhoñ kā ā.īna jab bhī dekhtā huuñ
ye sochtā huuñ
vajūd ke shahr kī sukūnat
hai muḳhtasar jaise nik.hat-e-gul
vo faisla jo raqam huā thā
aTal hai ab bhī
jo aaj hai
kal nahīñ rahegā
jo kal thā
kab ḳhvāb ho chukā vo
magar zarā vaqt kī adālat mujhe batā.e
ki faisla us ke haq meñ kyā hai
vajūd ke shahr meñ bhī rah kar
jo umr bhar dekhtā rahā hai
ik ek pal raah zindagī kī
guzarte lamhon ka aaina jab bhi dekhta hun
ye sochta hun
wajud ke shahr ki sukunat
hai muKHtasar jaise nikhat-e-gul
wo faisla jo raqam hua tha
aTal hai ab bhi
jo aaj hai
kal nahin rahega
jo kal tha
kab KHwab ho chuka wo
magar zara waqt ki adalat mujhe batae
ki faisla us ke haq mein kya hai
wajud ke shahr mein bhi rah kar
jo umr bhar dekhta raha hai
ek ek pal rah zindagi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.