manzar
raat jaltī rahī
din pighaltā rahā
pyaas ke karb se hoñT
sailāb āñkhoñ kā piite rahe
ek ummīd par
saañs chaltī rahī
sub.h kī
thartharātī huī raushnī meñ magar
koī aisā nahīñ
saath tanhā.iyoñ ke jo chaltā rahe
ek sūraj hai jo apnī hī aag meñ
jal rahā hai magar
din kī lambī Dagar
raushnī meñ hai us se nahā.ī huī
raat jalti rahi
din pighalta raha
pyas ke karb se honT
sailab aankhon ka pite rahe
ek ummid par
sans chalti rahi
subh ki
thartharaati hui raushni mein magar
koi aisa nahin
sath tanhaiyon ke jo chalta rahe
ek suraj hai jo apni hi aag mein
jal raha hai magar
din ki lambi Dagar
raushni mein hai us se nahai hui
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 77)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.