manzil-e-shauq
paḌhte paḌhte thak jaatā huuñ,
khiḌkī se kuchh duur gagan ko,
chhū ke vāpas aa jaatā huuñ
nazroñ kā andāz hai yāro!
paḌhne meñ jī lag jaatā hai!
yuuñ bhī jiinā aa jaatā hai!
sāmne mere ik kamra hai
kamre kī chhoTī sī chhat par,
ek bahut ma.amūlī laḌkā,
jab dekho Tahlā kartā hai!
umr agar pūchho, to aisī
jis meñ saare man kā zor,
ye gahrā sāgar pī jaa.e,
Thokar de parbat ko maar,
kaisī aḌchan kaisī mushkil,
apnī marzī apnī manzil,
lekin vo ma.amūlī laḌkā,
naalī us ko pī saktī hai,
tinkā us ko reza kar de,
us kī pyāsī pyāsī āñkheñ,
us ke sūkhe sūkhe hoñT
sapnoñ se begāna jaise,
gītoñ se anjāne se,
bhuuk ne apnī lorī dī hai,
chalte phirte so jaatā hai,
subah savere shām, kī belā,
nagrī meñ jab lagā ho mela,
ek akelī chhat par tanhā,
ek vahī laḌkā phirtā hai!
pūrab jānib nīche koii,
chhoTā sā ik āñgan hogā,
shaam ko āñgan sajtā hogā,
mezoñ par kyā kuchh na hogā,
ālū, puurī phulkī chhole,
barfī, khoyā laDDū, peḌe,
aur maze ke khāne hoñge,
bijlī, ḳhushbū, bādal, maujeñ,
insānī paikar meñ Dhal kar,
hañste gaate mauj uḌāte,
mezoñ par gir jaate hoñge!
kyuuñ ki maiñ ne aksar dekhā,
apnī chhat kī aaḌ meñ rah kar
chupke chupke, pahroñ pahroñ,
paDhte paDhte thak jata hun,
khiDki se kuchh dur gagan ko,
chhu ke wapas aa jata hun
nazron ka andaz hai yaro!
paDhne mein ji lag jata hai!
yun bhi jina aa jata hai!
samne mere ek kamra hai
kamre ki chhoTi si chhat par,
ek bahut mamuli laDka,
jab dekho Tahla karta hai!
umr agar puchho, to aisi
jis mein sare man ka zor,
ye gahra sagar pi jae,
Thokar de parbat ko mar,
kaisi aDchan kaisi mushkil,
apni marzi apni manzil,
lekin wo mamuli laDka,
nali us ko pi sakti hai,
tinka us ko reza kar de,
us ki pyasi pyasi aankhen,
us ke sukhe sukhe honT
sapnon se begana jaise,
giton se anjaane se,
bhuk ne apni lori di hai,
chalte phirte so jata hai,
subah sawere sham, ki bela,
nagri mein jab laga ho mela,
ek akeli chhat par tanha,
ek wahi laDka phirta hai!
purab jaanib niche koi,
chhoTa sa ek aangan hoga,
sham ko aangan sajta hoga,
mezon par kya kuchh na hoga,
aalu, puri phulki chhole,
barfi, khoya laDDu, peDe,
aur maze ke khane honge,
bijli, KHushbu, baadal, maujen,
insani paikar mein Dhal kar,
hanste gate mauj uDate,
mezon par gir jate honge!
kyun ki main ne aksar dekha,
apni chhat ki aaD mein rah kar
chupke chupke, pahron pahron,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.