manzil ke nam
kaise khīñchūñ tirī tasvīr tū gum hai ab tak
tujh ko ai jān-e-jahāñ maiñ ne to dekhā bhī nahīñ
jab kabhī abr shab-e-mah meñ uḌā jaatā hai
ābshāroñ se sadā aatī hai chhan-chhan ke kahīñ
yā kabhī shaam kī tārīkī meñ tanhā.ī meñ
jab kabhī jalva jhalaktā hai tirī yādoñ kā
maiñ sajātā huuñ ḳhayāloñ meñ hasīñ ḳhvāb koī
sāmne aatī hai do pal ke liye tū ai dost
aur ai parda-nashīñ terā jo chilman hai hasīñ
maiñ baḌhātā huuñ qadam us ko haTāne ke liye
nā-gahāñ duur se āvāz koī aatī hai
kaañp jaatā hai, dhaḌaktā hai merā shīsha-e-dil
aur phir dhundlī fazāoñ meñ tū kho jaatī hai
dekhtā huuñ jo maiñ muḌ kar ki pas-e-pusht hai kaun
yaas ke bahr-e-siyah-posh pe raqsāñ raqsāñ
zahr-ālūd tabassum kī kaTāreñ le kar
koī lahrātā huā saayā nazar aatā hai
kaise khinchun teri taswir tu gum hai ab tak
tujh ko ai jaan-e-jahan main ne to dekha bhi nahin
jab kabhi abr shab-e-mah mein uDa jata hai
aabshaaron se sada aati hai chhan-chhan ke kahin
ya kabhi sham ki tariki mein tanhai mein
jab kabhi jalwa jhalakta hai teri yaadon ka
main sajata hun KHayalon mein hasin KHwab koi
samne aati hai do pal ke liye tu ai dost
aur ai parda-nashin tera jo chilman hai hasin
main baDhata hun qadam us ko haTane ke liye
na-gahan dur se aawaz koi aati hai
kanp jata hai, dhaDakta hai mera shisha-e-dil
aur phir dhundli fazaon mein tu kho jati hai
dekhta hun jo main muD kar ki pas-e-pusht hai kaun
yas ke bahr-e-siyah-posh pe raqsan raqsan
zahr-alud tabassum ki kaTaren le kar
koi lahraata hua saya nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.