manzil
maiñ rangoñ meñ huuñ kabhī brush meñ
kabhī canvas pe sajī huuñ maiñ
maiñ qaus-e-quzah huuñ hurūf kī
alfāz kī ik laḌī huuñ maiñ
mujhe ḳhud bhī apnā patā nahīñ
maiñ kahāñ nahīñ aur kahāñ huuñ maiñ
ab talāsh karne se fā.eda
maiñ jo mil bhī jā.ūñ to kyā bhalā
phir bhī ek ḳhalish sī hai
terī justujū sub.h shaam hai
ye jo ḳhvāhisheñ haiñ fuzūl sī
ik 'umr se mire saath haiñ
jo maiñ dāman in se chhuḌā sakūñ
to sukūñ tasavvuf meñ pā sakūñ
magar shaffāf parde tasavvuf ke haiñ
mujhe kis tarah se chhupā.eñge
mujhe qaid karnā muhāl hai
maiñ magan huuñ apnī hī zaat meñ
kaun-o-makāñ se be-ḳhabar
mujhe aarzū thī kabhī mile
koī rāz-dāñ koī ham-navā
magar kabhī koī aisā milā nahīñ
jahāñ ro sakūñ kabhī rakh ke sar
jo milā vo apnā hī kāñdhā hai
jahāñ roTī huuñ maiñ jhukā ke sar
maiñ muhīb raat kā pahar huuñ
nahīñ sahar mere nasīb meñ
ye sahar terī hai to rakh ise
maiñ to sahar se bahut duur huuñ
maiñ na haath ab kabhī ā.ūñgī
mujhe DhūñDhnā bhī fuzūl hai
ye jo rāste haiñ chahār-sū
le jā.eñge mujhe kū-ba-kū
bahut manzileñ haiñ yahāñ vahāñ
merī manzil in meñ
koī nahīñ
haañ merī manzil nahīñ koī
maiñ to apnī manzil aap huuñ
main rangon mein hun kabhi brush mein
kabhi canwas pe saji hun main
main qaus-e-quzah hun huruf ki
alfaz ki ek laDi hun main
mujhe KHud bhi apna pata nahin
main kahan nahin aur kahan hun main
ab talash karne se faeda
main jo mil bhi jaun to kya bhala
phir bhi ek KHalish si hai
teri justuju subh sham hai
ye jo KHwahishen hain fuzul si
ek 'umr se mere sath hain
jo main daman in se chhuDa sakun
to sukun tasawwuf mein pa sakun
magar shaffaf parde tasawwuf ke hain
mujhe kis tarah se chhupaenge
mujhe qaid karna muhaal hai
main magan hun apni hi zat mein
kaun-o-makan se be-KHabar
mujhe aarzu thi kabhi mile
koi raaz-dan koi ham-nawa
magar kabhi koi aisa mila nahin
jahan ro sakun kabhi rakh ke sar
jo mila wo apna hi kandha hai
jahan roTi hun main jhuka ke sar
main muhib raat ka pahar hun
nahin sahar mere nasib mein
ye sahar teri hai to rakh ise
main to sahar se bahut dur hun
main na hath ab kabhi aaungi
mujhe DhunDhna bhi fuzul hai
ye jo raste hain chahaar-su
le jaenge mujhe ku-ba-ku
bahut manzilen hain yahan wahan
meri manzil in mein
koi nahin
han meri manzil nahin koi
main to apni manzil aap hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.