maqtal ki bazdid
balā kī pyaas us kī aañkh meñ hai
hijāz kī sarzamīñ pe is saal is qadar bārisheñ huī haiñ ki ḳhushk tālāb
ḳhūn-e-nāhaq se bhar ga.e haiñ
lahū kī pyaas us kī aañkh meñ hai
nafas meñ bārūd jis kī qātil sadā kā sho.ala
qadam qadam tahniyat ke raste ravāñ huā to vo naḳhl jis kī jaḌeñ zamīnoñ ke
dard meñ thiiñ
jhukā kuchh aise ki jaise hāl-e-rukūa meñ ho
udaas taa.ir jo shāḳh par the
jo gumbadoñ kī panāh meñ the
jo jāliyoñ ke tavāf meñ the
Dare hue āsmān-e-hijrat kī Tahniyoñ se
nasheb meñ us zamīn-e-maqtal ko dekhte haiñ
jahāñ vo naḳhl is tarah girā hai ki jaise hāl-e-sujūd meñ ho
ik aur tālāb taaza bārish se bhar gayā hai
bala ki pyas us ki aankh mein hai
hijaz ki sarzamin pe is sal is qadar barishen hui hain ki KHushk talab
KHun-e-nahaq se bhar gae hain
lahu ki pyas us ki aankh mein hai
nafas mein barud jis ki qatil sada ka shoala
qadam qadam tahniyat ke raste rawan hua to wo naKHl jis ki jaDen zaminon ke
dard mein thin
jhuka kuchh aise ki jaise haal-e-rukua mein ho
udas tair jo shaKH par the
jo gumbadon ki panah mein the
jo jaliyon ke tawaf mein the
Dare hue aasman-e-hijrat ki Tahniyon se
nasheb mein us zamin-e-maqtal ko dekhte hain
jahan wo naKHl is tarah gira hai ki jaise haal-e-sujud mein ho
ek aur talab taza barish se bhar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.