maqtal mein mukalima
qatl-gāh kī raunaq
hasb-e-hāl rakhnī hai
ġham bahāl rakhnā hai
jaañ sambhāl rakhnī hai
zor-e-bāzū-e-qātil
intihā kā rakhnā hai
dashna tez rakhnā hai
aur balā kā rakhnā hai
aur kyā mire qātil
intizām baaqī hai
koī baat honī hai
koī kaam baaqī hai
vaqt par nazar rakhnā
vaqt ek jaada hai
haañ batā mire qātil
terā kyā irāda hai
vaqt kam rahā baaqī
yā abhī ziyāda hai
maiñ to qatl hone tak
muskurā.e jā.uñgā
qatl-gah ki raunaq
hasb-e-haal rakhni hai
gham bahaal rakhna hai
jaan sambhaal rakhni hai
zor-e-bazu-e-qatil
intiha ka rakhna hai
dashna tez rakhna hai
aur bala ka rakhna hai
aur kya mere qatil
intizam baqi hai
koi baat honi hai
koi kaam baqi hai
waqt par nazar rakhna
waqt ek jada hai
han bata mere qatil
tera kya irada hai
waqt kam raha baqi
ya abhi ziyaada hai
main to qatl hone tak
muskurae jaunga
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 430)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.