march 1907
zamāna aayā hai be-hijābī kā aam dīdār-e-yār hogā
sukūt thā parda-dār jis kā vo raaz ab āshkār hogā
guzar gayā ab vo daur-e-sāqī ki chhup ke piite the piine vaale
banegā saarā jahān mai-ḳhāna har koī bāda-ḳhvār hogā
kabhī jo āvāra-e-junūñ the vo bastiyoñ meñ phir aa baseñge
barahna-pā.ī vahī rahegī magar nayā ḳhārzār hogā
sunā diyā gosh-e-muntazir ko hijāz kī ḳhāmushī ne āḳhir
jo ahd sahrā.iyoñ se bāñdhā gayā thā phir ustuvār hogā
nikal ke sahrā se jis ne ruumā kī saltanat ko ulaT diyā thā
sunā hai ye qudsiyoñ se maiñ ne vo sher phir hoshiyār hogā
kiyā mirā tazkira jo saaqī ne bāda-ḳhvāroñ kī anjuman meñ
to pīr-e-mai-ḳhāna sun ke kahne lagā ki muñh-phaT hai ḳhvār hogā
dayār-e-maġhrib ke rahne vaalo ḳhudā kī bastī dukāñ nahīñ hai
kharā jise tum samajh rahe ho vo ab zar-e-kam-ayār hogā
tumhārī tahzīb apne ḳhanjar se aap hī ḳhud-kushī karegī
jo shāḳh-e-nāzuk pe āshiyāna banegā nā-pā.edār hogā
safīna-e-barg-e-gul banā legā qāfila mor-e-nā-tavāñ kā
hazār maujoñ kī ho kashākash magar ye dariyā se paar hogā
chaman meñ laala dikhātā phirtā hai daaġh apnā kalī kalī ko
ye jāntā hai ki is dikhāve se dil-jaloñ meñ shumār hogā
jo ek thā ai nigāh tū ne hazār kar ke hameñ dikhāyā
yahī agar kaifiyat hai terī to phir kise e'tibār hogā
kahā jo qumrī se maiñ ne ik din yahāñ ke āzād pā-ba-gil haiñ
tū ġhunche kahne lage hamāre chaman kā ye rāzdār hogā
ḳhudā ke āshiq to haiñ hazāroñ banoñ meñ phirte haiñ maare maare
maiñ us kā banda banūñgā jis ko ḳhudā ke bandoñ se pyaar hogā
ye rasm-e-bazm-e-fanā hai ai dil gunāh hai jumbish-e-nazar bhī
rahegī kyā aabrū hamārī jo tū yahāñ be-qarār hogā
maiñ zulmat-e-shab meñ le ke niklūñgā apne dar-māñda kārvāñ ko
sharar-fishāñ hogī aah merī nafas mirā shola-bār hogā
nahīñ hai ġhair-az-numūd kuchh bhī jo mudda.ā terī zindagī kā
tū ik nafas meñ jahāñ se miTnā tujhe misāl-e-sharār hogā
na pūchh 'iqbāl' kā Thikānā abhī vahī kaifiyat hai us kī
kahīñ sar-e-rāh-guzār baiThā sitam-kash-e-intizār hogā
zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga
sukut tha parda-dar jis ka wo raaz ab aashkar hoga
guzar gaya ab wo daur-e-saqi ki chhup ke pite the pine wale
banega sara jahan mai-KHana har koi baada-KHwar hoga
kabhi jo aawara-e-junun the wo bastiyon mein phir aa basenge
barahna-pai wahi rahegi magar naya KHarzar hoga
suna diya gosh-e-muntazir ko hijaz ki KHamushi ne aaKHir
jo ahd sahraiyon se bandha gaya tha phir ustuwar hoga
nikal ke sahra se jis ne ruma ki saltanat ko ulaT diya tha
suna hai ye qudsiyon se main ne wo sher phir hoshiyar hoga
kiya mera tazkira jo saqi ne baada-KHwaron ki anjuman mein
to pir-e-mai-KHana sun ke kahne laga ki munh-phaT hai KHwar hoga
dayar-e-maghrib ke rahne walo KHuda ki basti dukan nahin hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar-e-kam-ayar hoga
tumhaari tahzib apne KHanjar se aap hi KHud-kushi karegi
jo shaKH-e-nazuk pe aashiyana banega na-paedar hoga
safina-e-barg-e-gul bana lega qafila mor-e-na-tawan ka
hazar maujon ki ho kashakash magar ye dariya se par hoga
chaman mein lala dikhata phirta hai dagh apna kali kali ko
ye jaanta hai ki is dikhawe se dil-jalon mein shumar hoga
jo ek tha ai nigah tu ne hazar kar ke hamein dikhaya
yahi agar kaifiyat hai teri to phir kise e'tibar hoga
kaha jo qumri se main ne ek din yahan ke aazad pa-ba-gil hain
tu ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdar hoga
KHuda ke aashiq to hain hazaron banon mein phirte hain mare mare
main us ka banda banunga jis ko KHuda ke bandon se pyar hoga
ye rasm-e-bazm-e-fana hai ai dil gunah hai jumbish-e-nazar bhi
rahegi kya aabru hamari jo tu yahan be-qarar hoga
main zulmat-e-shab mein le ke niklunga apne dar-manda karwan ko
sharar-fishan hogi aah meri nafas mera shola-bar hoga
nahin hai ghair-az-numud kuchh bhi jo muddaa teri zindagi ka
tu ek nafas mein jahan se miTna tujhe misal-e-sharar hoga
na puchh 'iqbaal' ka Thikana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar-e-rah-guzar baiTha sitam-kash-e-intizar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.