marg-e-soz-e-mohabbat
aao ki marg-e-soz-e-mohabbat manā.eñ ham
aao ki husn-e-māh se dil ko jalā.eñ ham
ḳhush huuñ firāq-e-qāmat-o-ruḳhsār-e-yār se
sarv-o-gul-o-saman se nazar ko satā.eñ ham
vīrānī-e-hayāt ko vīrān-tar kareñ
le nāseh aaj terā kahā maan jaa.eñ ham
phir oT le ke dāman-e-abr-e-bahār kī
dil ko manā.eñ ham kabhī aañsū bahā.eñ ham
suljhā.eñ be-dilī se ye uljhe hue savāl
vaañ jaa.eñ yā na jaa.eñ na jaa.eñ ki jaa.eñ ham
phir dil ko pās-e-zabt kī talqīn kar chukeñ
aur imtihān-e-zabt se phir jī churā.īñ ham
aao ki aaj ḳhatm huī dāstān-e-ishq
ab ḳhatm-e-āshiqī ke fasāne sunā.eñ ham
aao ki marg-e-soz-e-mohabbat manaen hum
aao ki husn-e-mah se dil ko jalaen hum
KHush hun firaq-e-qamat-o-ruKHsar-e-yar se
sarw-o-gul-o-saman se nazar ko sataen hum
virani-e-hayat ko viran-tar karen
le naseh aaj tera kaha man jaen hum
phir oT le ke daman-e-abr-e-bahaar ki
dil ko manaen hum kabhi aansu bahaen hum
suljhaen be-dili se ye uljhe hue sawal
wan jaen ya na jaen na jaen ki jaen hum
phir dil ko pas-e-zabt ki talqin kar chuken
aur imtihan-e-zabt se phir ji churain hum
aao ki aaj KHatm hui dastan-e-ishq
ab KHatm-e-ashiqi ke fasane sunaen hum
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 69)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.