marg-pech
mujh ko apnī maut kī dastak ne zinda kar diyā hai
dauḌtā phirtā huuñ
saare kaam nipTāne kī jaldī hai
pahāḌoñ aur jhīloñ kī ḳhamoshī se
qadīmī giit sunñe haiñ purāne dāstānī bhed lene haiñ
daraḳhtoñ se numū-kārī kī bābat pūchhnā hai
nit-na.ī shakleñ banāte bādaloñ ko dekhnā hai
ḳhush-navā achchhe parindoñ se
uḌan-phal kā patā ma.alūm karnā hai
urūsī bel ke phūloñ ko chhūnā hai
dar-o-dīvār se bāteñ bhī karnī haiñ
abhī kitne mulāqī muntazir haiñ
ek lambī list hai āñkhoñ meñ nādīda nazāroñ kī
fishār-e-ḳhūn baḌhtā jā rahā hai
ab kisī lamhe rageñ phaTne kā ḳhatra hai
magar masrūf huuñ sab kaam nipTāne kī jaldī hai
samundar ne bulāyā hai
jazīre aur sāhil bhī
ka.ī qarnoñ se mujh ko yaad karte haiñ
machhere giit gaate bastiyoñ ko lauTte
mujh ko bahut hī haañT karte haiñ
kisī din jā.ūñgā milne
ḳhazānoñ ko ugalne ke liye
betāb haiñ raqbe tilismī sar-zamīnoñ ke
safar ke rāste ma.alūm haiñ
naqshe purāne kaaTh ke sandūq meñ mahfūz haiñ sab
dev baanī bhī samajhtā huuñ
magar masrūf huuñ
bachchoñ ke kitne kaam baaqī haiñ
kitābeñ copiyāñ schōl ke kapḌe na.e baste
khilaune baT rocket
aur bahut sī an-kahī chīzeñ
ḳharīdūñgā to ḳhush hoñge
magar masrūf huuñ sab kaam nipTāne kī jaldī hai
ragoñ meñ ḳhuun kī raftār baḌhtī jā rahī hai
zindagī par ik junūn-e-marg taarī hai
bahut masrūf huuñ
sarpaT likhe jaatā huuñ nazmeñ
mujh ko apnī maut kī dastak ne zinda kar diyā hai!!
mujh ko apni maut ki dastak ne zinda kar diya hai
dauDta phirta hun
sare kaam nipTane ki jaldi hai
pahaDon aur jhilon ki KHamoshi se
qadimi git sunne hain purane dastani bhed lene hain
daraKHton se numu-kari ki babat puchhna hai
nit-nai shaklen banate baadalon ko dekhna hai
KHush-nawa achchhe parindon se
uDan-phal ka pata malum karna hai
urusi bel ke phulon ko chhuna hai
dar-o-diwar se baaten bhi karni hain
abhi kitne mulaqi muntazir hain
ek lambi list hai aankhon mein nadida nazaron ki
fishaar-e-KHun baDhta ja raha hai
ab kisi lamhe ragen phaTne ka KHatra hai
magar masruf hun sab kaam nipTane ki jaldi hai
samundar ne bulaya hai
jazire aur sahil bhi
kai qarnon se mujh ko yaad karte hain
machhere git gate bastiyon ko lauTte
mujh ko bahut hi hanT karte hain
kisi din jaunga milne
KHazanon ko ugalne ke liye
betab hain raqbe tilismi sar-zaminon ke
safar ke raste malum hain
naqshe purane kaTh ke sanduq mein mahfuz hain sab
dew bani bhi samajhta hun
magar masruf hun
bachchon ke kitne kaam baqi hain
kitaben copiyan school ke kapDe nae baste
khilaune baT rocket
aur bahut si an-kahi chizen
KHaridunga to KHush honge
magar masruf hun sab kaam nipTane ki jaldi hai
ragon mein KHun ki raftar baDhti ja rahi hai
zindagi par ek junun-e-marg tari hai
bahut masruf hun
sarpaT likhe jata hun nazmen
mujh ko apni maut ki dastak ne zinda kar diya hai!!
- Book : Arabchi so gia hai (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.