marhala
merī har ik nazar ne sajda kiyā
raunaq-e-husn-o-jān-e-rū-e-nigār
phir bhī jumbish na ho sakī tujh ko
kitnā mazbūt hai tirā kirdār
kyā ḳhabar tujh ko pyaar ho ki na ho
huuñ tirī har ḳhushī ke saath magar
terī fikr-o-adā samajh na sakūñ
bar-mahal jaise baj sake na gajar
zehn kī kuchh amiiq rāhoñ meñ
ḳhud ko khoyā huā sā paatā huuñ
jaane kyā hogā ishq kā hāsil
jaane kyā hogā chāhatoñ kā fusūñ
meri har ek nazar ne sajda kiya
raunaq-e-husn-o-jaan-e-ru-e-nigar
phir bhi jumbish na ho saki tujh ko
kitna mazbut hai tera kirdar
kya KHabar tujh ko pyar ho ki na ho
hun teri har KHushi ke sath magar
teri fikr-o-ada samajh na sakun
bar-mahal jaise baj sake na gajar
zehn ki kuchh amiq rahon mein
KHud ko khoya hua sa pata hun
jaane kya hoga ishq ka hasil
jaane kya hoga chahaton ka fusun
- Veeraniyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.