marhala
na us ke ishq ke kaam aa sakā maiñ
na apnī aag ko bharmā sakā maiñ
na shor-e-ārzū ne raah paa.ī
na dard-e-be-ḳhudī thī ne rasā.ī
zamāna apne mehvar par ravāñ thā
mahz ek aag thī jalne meñ kyā thā
ḳhudāyā kis tarah sar ho sakegī
dil-o-dīda kī ye pur-dāġh mahfil
na us ke ishq ke kaam aa saka main
na apni aag ko bharma saka main
na shor-e-arzu ne rah pai
na dard-e-be-KHudi thi ne rasai
zamana apne mehwar par rawan tha
mahz ek aag thi jalne mein kya tha
KHudaya kis tarah sar ho sakegi
dil-o-dida ki ye pur-dagh mahfil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.