aaj apnī āḳhirī manzil pe hai fikr-e-rasā
aaj āḳhir uqda-e-zauq-e-suḳhan vā ho gayā
kyā ḳhabar thī haa.e aisā bhī zamāna aa.egā
ek din kahnā paḌegā laḳht-e-dil kā marsiya
zindagī dushvār hai be-ro.e be-mātam kiye
yā-ḳhudā shā.ir banāyā thā isī din ke liye
phuul dil kā aisā murjhāyā zarā ḳhushbū nahīñ
naam hai ārām jis kā ab kisī pahlū nahīñ
hoñ agar rone pe maa.il aañkh meñ aañsū nahīñ
zabt karnā chāheñ to jazbāt par qaabū nahīñ
kyā batā.eñ kis pareshānī meñ kis mushkil meñ haiñ
ek murjhā.e hue ġhunche ke kāñTe dil meñ haiñ
kyā karegā koī andāza hamāre haal kā
luT gayā sarmāya-e-tāb-o-tavāñ do saal kā
aag sī dil meñ lagī hai ġham hai ye kis laal kā
ashk-e-ḳhūnī hai ki sho.ala ātish-e-sayyāl kā
tan phuñkā jaatā hai lekin lab pe āh-e-sard hai
ai mire allāh mere dil meñ kaisā dard hai
aah ai ārām-e-jāñ taskīn-e-dil laḳht-e-jigar
aah ai ghar ke ujāle aah ai nūr-e-nazar
raat jangal kī udāsī har taraf tārīk ghar
chain se sonā tumhārā ho ke be-ḳhauf-o-ḳhatar
is dilerī ke tasadduq is qanā.at ke nisār
ḳhaak ke bistar pe kyūñkar aa gayā tum ko qarār
kuchh na pūchho kyā guzartī hai dil-e-nāshād par
ab madār-e-zindagī hai nāla-o-fariyād par
muztarib dil ro rahā hai mehnat-e-barbād par
ḳhuun ke aañsū nichhāvar haiñ tumhārī yaad par
kuchh hamāre haal kī tum ko ḳhabar hai yā nahīñ
kis se pūchheñ dil kī aahoñ meñ asar hai yā nahīñ
ab nazar meñ rang hī badlā huā mahfil kā hai
har nafas paiġhām goyā āḳhirī manzil kā hai
ġham shikasta-ḳhātirī kā sāmnā mushkil kā hai
zindagī kī sham.a kyā kiije ye naqsha dil kā hai
jaise ik rangīn shīshe ko kuchal kar pheñk do
yā shagufta phuul chuTkī se masal kar pheñk do
aaj apni aaKHiri manzil pe hai fikr-e-rasa
aaj aaKHir uqda-e-zauq-e-suKHan wa ho gaya
kya KHabar thi hae aisa bhi zamana aaega
ek din kahna paDega laKHt-e-dil ka marsiya
zindagi dushwar hai be-roe be-matam kiye
ya-KHuda shair banaya tha isi din ke liye
phul dil ka aisa murjhaya zara KHushbu nahin
nam hai aaram jis ka ab kisi pahlu nahin
hon agar rone pe mail aankh mein aansu nahin
zabt karna chahen to jazbaat par qabu nahin
kya bataen kis pareshani mein kis mushkil mein hain
ek murjhae hue ghunche ke kanTe dil mein hain
kya karega koi andaza hamare haal ka
luT gaya sarmaya-e-tab-o-tawan do sal ka
aag si dil mein lagi hai gham hai ye kis lal ka
ashk-e-KHuni hai ki shoala aatish-e-sayyal ka
tan phunka jata hai lekin lab pe aah-e-sard hai
ai mere allah mere dil mein kaisa dard hai
aah ai aaram-e-jaan taskin-e-dil laKHt-e-jigar
aah ai ghar ke ujale aah ai nur-e-nazar
raat jangal ki udasi har taraf tarik ghar
chain se sona tumhaara ho ke be-KHauf-o-KHatar
is dileri ke tasadduq is qanaat ke nisar
KHak ke bistar pe kyunkar aa gaya tum ko qarar
kuchh na puchho kya guzarti hai dil-e-nashad par
ab madar-e-zindagi hai nala-o-fariyaad par
muztarib dil ro raha hai mehnat-e-barbaad par
KHun ke aansu nichhawar hain tumhaari yaad par
kuchh hamare haal ki tum ko KHabar hai ya nahin
kis se puchhen dil ki aahon mein asar hai ya nahin
ab nazar mein rang hi badla hua mahfil ka hai
har nafas paigham goya aaKHiri manzil ka hai
gham shikasta-KHatiri ka samna mushkil ka hai
zindagi ki shama kya kije ye naqsha dil ka hai
jaise ek rangin shishe ko kuchal kar phenk do
ya shagufta phul chuTki se masal kar phenk do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.