mariz-e-mohabbat
apne pindār-e-ḳhudī se munfa.il huuñ 'maz.harī'
maiñ zuhūr-e-iḳhtilāl-e-āb-o-gil huuñ 'maz.harī'
ki mohabbat kā marīz-e-mustaqil huuñ 'maz.harī'
dostī kyā dushmanī se bhī mohabbat maiñ ne kī
raushnī kyā tīrgī se bhī mohabbat maiñ ne kī
muskurā.ī tīrgī mujh ko mohabbat ho ga.ī
hañs ke bolī dushmanī mujh ko mohabbat ho ga.ī
muflisī o be-navā.ī se mohabbat maiñ ne kī
har surūr-e-ḳhud-numā.ī se mohabbat maiñ ne kī
har ġhurūr-e-kibriyā.ī se mohabbat maiñ ne kī
be-ruḳhī o kaj-adā.ī se mohabbat maiñ ne kī
tar-zabāñ ho kar rukhā.ī se mohabbat maiñ ne kī
thā rajā.ī kis qadar merī mohabbat kā dimāġh
ahrman ke sīna-e-tārīk meñ dekhā charāġh
ik sitāristāñ nazar aayā añdherā daaġh daaġh
maiñ ne makkārī o ayyārī meñ bhī dekhā ḳhulūs
maiñ sayyādī o jallādī se bhī bartā ḳhulūs
maiñ ne qahhārī o jabbārī meñ bhī DhūñDā ḳhulūs
apne is jazbe ko ik tashdīd-e-īmānī bhī dī
dostoñ ke vāste īmāñ kī qurbānī bhī dī
taaki puurī ho mohabbat kī ik ummīd-e-fuzūl
bār-hā jhoñkā kiyā insāf kī āñkhoñ meñ dhuul
phir bhī sab kuchh kho ke sab kuchh de ke kuchh paayā nahīñ
aql kaam aa.ī nahīñ aur ishq raas aayā nahīñ
jis ko kahte haiñ vafā ik saḳht bīmārī hai ye
ḳhud-kushī ho yā na ho lekin ḳhud-āzārī hai ye
nāz-bardārī meñ bhī ik bār-bardārī hai ye
maiñ mohabbat kī havas meñ itnā be-ḳhud ho gayā
mere andar mādda nafrat kā bilkul so gayā
ai azīzo! is marīz-e-zindagī kā kyā ilaaj
is ḳhudī kā kyā ilaaj is be-ḳhudī kā kyā ilaaj
jis ko ho nāz-e-vafā us aadmī kā kyā ilaaj
'ijtibā' se pūchhte ho 'maz.harī' kā kyā ilaaj
sau ḳhulūs-e-be-riyā kā ik ḳhabāsat se ilaaj
ye maraz hai, ye maraz hai is kā nafrat hai ilaaj
bas yahī rāz-e-shifā hai, bas yahī rāz-e-shifā
bas yahī merī davā hai bas yahī merī davā
koī merī ruuh par aisā kare zulm-e-shadīd
mujh meñ nafrat jī uThe salavāt bar-rūh-e-yazīd
apne pindar-e-KHudi se munfail hun 'mazhari'
main zuhur-e-iKHtilal-e-ab-o-gil hun 'mazhari'
ki mohabbat ka mariz-e-mustaqil hun 'mazhari'
dosti kya dushmani se bhi mohabbat main ne ki
raushni kya tirgi se bhi mohabbat main ne ki
muskurai tirgi mujh ko mohabbat ho gai
hans ke boli dushmani mujh ko mohabbat ho gai
muflisi o be-nawai se mohabbat main ne ki
har surur-e-KHud-numai se mohabbat main ne ki
har ghurur-e-kibriyai se mohabbat main ne ki
be-ruKHi o kaj-adai se mohabbat main ne ki
tar-zaban ho kar rukhai se mohabbat main ne ki
tha rajai kis qadar meri mohabbat ka dimagh
ahrman ke sina-e-tarik mein dekha charagh
ek sitaristan nazar aaya andhera dagh dagh
main ne makkari o ayyari mein bhi dekha KHulus
main sayyaadi o jalladi se bhi barta KHulus
main ne qahhaari o jabbari mein bhi DhunDa KHulus
apne is jazbe ko ek tashdid-e-imani bhi di
doston ke waste iman ki qurbani bhi di
taki puri ho mohabbat ki ek ummid-e-fuzul
bar-ha jhonka kiya insaf ki aankhon mein dhul
phir bhi sab kuchh kho ke sab kuchh de ke kuchh paya nahin
aql kaam aai nahin aur ishq ras aaya nahin
jis ko kahte hain wafa ek saKHt bimari hai ye
KHud-kushi ho ya na ho lekin KHud-azari hai ye
naz-bardari mein bhi ek bar-bardari hai ye
main mohabbat ki hawas mein itna be-KHud ho gaya
mere andar madda nafrat ka bilkul so gaya
ai azizo! is mariz-e-zindagi ka kya ilaj
is KHudi ka kya ilaj is be-KHudi ka kya ilaj
jis ko ho naz-e-wafa us aadmi ka kya ilaj
'ijtiba' se puchhte ho 'mazhari' ka kya ilaj
sau KHulus-e-be-riya ka ek KHabasat se ilaj
ye maraz hai, ye maraz hai is ka nafrat hai ilaj
bas yahi raaz-e-shifa hai, bas yahi raaz-e-shifa
bas yahi meri dawa hai bas yahi meri dawa
koi meri ruh par aisa kare zulm-e-shadid
mujh mein nafrat ji uThe salawat bar-ruh-e-yazid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.