marne wale ke kamre mein
yuuñ rag o pai meñ ajal utrī hai
haath sākit haiñ duā kyā māñgeñ
aañkh ḳhāmosh hai, kyā dekhegī
hoñT ḳhvābīda haiñ kyā boleñge
ek sannāTā abad-tābā-abad
johd-e-yak-umr kā hāsil Thahre
dard kā shola rag-e-jāñ kā lahū
jins-e-be-māya the be-māyā rahe
tiira ḳhaak un kī ḳharīdār bane
nik.hat-e-gul kī tarah āvāra
bū-e-jāñ vus.at-e-āfāq meñ gum
yak kaf-e-ḳhāk hai vo bhī kab tak?
sub.h kī os se āñkheñ dho lo
kamre se jhāñk ke bāhar dekho
aise masrūf tag-o-tāz haiñ sab
jaise kal un ke muqaddar meñ nahīñ
maiñ tamāshā.ī huuñ har manzar kā
jaise kal mere muqaddar meñ nahīñ
yun rag o pai mein ajal utri hai
hath sakit hain dua kya mangen
aankh KHamosh hai, kya dekhegi
honT KHwabida hain kya bolenge
ek sannaTa abad-taba-abad
johd-e-yak-umr ka hasil Thahre
dard ka shola rag-e-jaan ka lahu
jins-e-be-maya the be-maya rahe
tera KHak un ki KHaridar bane
nikhat-e-gul ki tarah aawara
bu-e-jaan wusat-e-afaq mein gum
yak kaf-e-KHak hai wo bhi kab tak?
subh ki os se aankhen dho lo
kamre se jhank ke bahar dekho
aise masruf tag-o-taz hain sab
jaise kal un ke muqaddar mein nahin
main tamashai hun har manzar ka
jaise kal mere muqaddar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.