marsiya-e-dehli-e-marhum
tazkira dehli-e-marhūm kā ai dost na chheḌ
na sunā jā.egā ham se ye fasānā hargiz
dāstāñ gul kī ḳhizāñ meñ na sunā ai bulbul
hañste hañste hameñ zālim na rulānā hargiz
DhūñDhtā hai dil-e-shorīda bahāne mutrib
dard-añgez ġhazal koī na gaanā hargiz
sohbateñ aglī musavvar hameñ yaad ā.eñgī
koī dilchasp muraqqa.a na dikhānā hargiz
le ke daaġh aa.egā siine pe bahut ai sayyāh
dekh is shahr ke khañDaroñ meñ na jaanā hargiz
chappa chappa pe haiñ yaañ gauhar-e-yaktā tah-e-ḳhāk
dafn hogā na kahīñ itnā ḳhazāna hargiz
miT ga.e tere miTāne ke nishāñ bhī ab to
ai falak is se zyāda na miTānā hargiz
vo to bhūle the hameñ ham bhī unheñ bhuul ga.e
aisā badlā hai na badlegā zamānā hargiz
jis ko zaḳhmoñ se havādis ke achhūtā samjheñ
nazar aatā nahīñ ik aisā gharānā hargiz
ham ko gar tū ne rulāyā to rulāyā ai charḳh
ham pe ġhairoñ ko to zālim na hañsānā hargiz
āḳhirī daur meñ bhī tujh ko qasam hai saaqī
bhar ke ik jaam na pyāsoñ ko pilānā hargiz
baḳht so.e haiñ bahut jaag ke ai daur-e-zamāñ
na abhī niiñd ke mātoñ ko jagānā hargiz
kabhī ai ilm-o-hunar ghar thā tumhārā dillī
ham ko bhūle ho to ghar bhuul na jaanā hargiz
'ġhālib' o 'sheftā' o 'nayyar' o 'āzurdā' o 'zauq'
ab dikhā.egā na shakloñ ko zamānā hargiz
'momin' o 'alvī' o 'sahbā.ī' o 'mamnūn' ke ba.ad
sher kā naam na legā koī daanā hargiz
'dāġh' o 'majrūh' ko sun lo ki phir is gulshan meñ
na sunegā koī bulbul kā tarānā hargiz
raat āḳhir huī aur bazm huī zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhī lutf-e-shabāna hargiz
bazm-e-mātam to nahīñ bazm-e-suḳhan hai 'hālī'
yaañ munāsib nahīñ ro ro ke rulānā hargiz
tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD
na suna jaega hum se ye fasana hargiz
dastan gul ki KHizan mein na suna ai bulbul
hanste hanste hamein zalim na rulana hargiz
DhunDhta hai dil-e-shorida bahane mutrib
dard-angez ghazal koi na gana hargiz
sohbaten agli musawwar hamein yaad aaengi
koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz
le ke dagh aaega sine pe bahut ai sayyah
dekh is shahr ke khanDaron mein na jaana hargiz
chappa chappa pe hain yan gauhar-e-yakta tah-e-KHak
dafn hoga na kahin itna KHazana hargiz
miT gae tere miTane ke nishan bhi ab to
ai falak is se zyaada na miTana hargiz
wo to bhule the hamein hum bhi unhen bhul gae
aisa badla hai na badlega zamana hargiz
jis ko zaKHmon se hawadis ke achhuta samjhen
nazar aata nahin ek aisa gharana hargiz
hum ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charKH
hum pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz
aaKHiri daur mein bhi tujh ko qasam hai saqi
bhar ke ek jam na pyason ko pilana hargiz
baKHt soe hain bahut jag ke ai daur-e-zaman
na abhi nind ke maton ko jagana hargiz
kabhi ai ilm-o-hunar ghar tha tumhaara dilli
hum ko bhule ho to ghar bhul na jaana hargiz
'ghaalib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'azurda' o 'zauq'
ab dikhaega na shaklon ko zamana hargiz
'momin' o 'alwi' o 'sahbai' o 'mamnun' ke baad
sher ka nam na lega koi dana hargiz
'dagh' o 'majruh' ko sun lo ki phir is gulshan mein
na sunega koi bulbul ka tarana hargiz
raat aaKHir hui aur bazm hui zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz
bazm-e-matam to nahin bazm-e-suKHan hai 'haali'
yan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 23)
- Author : Kitabi Duniya
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.