marsiya-e-dehli 4
tazkira dehlī-e-marhūm kā ai dost na chheḌ
na sunā jā.egā ham se ye fasāna hargiz
dāstāñ gul kī ḳhizāñ meñ na sunā ai bulbul
hañste hañste hameñ zālim na rulānā hargiz
DhūñDhtā hai dil-e-shorīda bahāne mutrib
dard-añgez ġhazal koī na gaanā hargiz
sohbateñ aglī musavvir hameñ yaad ā.eñgī
koī dilchasp muraqqa.a na dikhānā hargiz
maujzan dil meñ haiñ yaañ ḳhuun ke dariyā ai chashm
dekhnā abr se āñkheñ na churānā hargiz
le ke daaġh aa.egā siine pe bahut ai sayyāh
dekh is shahr ke khañDaroñ meñ na jaanā hargiz
chappe chappe pe haiñ yaañ gauhar-e-yaktā tah-e-ḳhāk
dafn hogā na kahīñ itnā ḳhazāna hargiz
miT ga.e tere miTāne ke nishāñ bhī ab to
ai falak is se ziyāda na miTānā hargiz
ham ko gar tū ne rulāyā to rulāyā ai charḳh
ham pe ġhairoñ ko to zālim na hañsānā hargiz
kabhī ai ilm-o-hunar ghar thā tumhārā dillī
ham ko bhūle ho to ghar bhuul na jaanā hargiz
shā.irī mar chukī ab zinda na hogī hargiz
yaad kar kar ke use jī na kuḌhānā hargiz
'ġhālib'-o-'shaifta'-o-'nayyar'-o-'āruzda'-o-'zauq'
ab dikhā.egā ye shakleñ na zamānā hargiz
'momin'-o-'alvī'-o-sahbā.ī'-o-'mamnūn' ke ba.ad
sher kā naam na legā koī daanā hargiz
kar diyā mar ke yagānoñ ne yagāna ham ko
varna yaañ koī na thā ham meñ yagāna hargiz
'dāġh'-o-'majrūh' ko sun lo ki phir is gulshan meñ
na sunegā koī bulbul kā tarānā hargiz
raat āḳhir huī aur bazm huī zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhī lutf-e-shabāna hargiz
bazm-e-mātam to nahīñ bazm-e-suḳhan hai 'hālī'
yaañ munāsib nahīñ ro ro ke rulānā hargiz
tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD
na suna jaega hum se ye fasana hargiz
dastan gul ki KHizan mein na suna ai bulbul
hanste hanste hamein zalim na rulana hargiz
DhunDhta hai dil-e-shorida bahane mutrib
dard-angez ghazal koi na gana hargiz
sohbaten agli musawwir hamein yaad aaengi
koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz
maujzan dil mein hain yan KHun ke dariya ai chashm
dekhna abr se aankhen na churana hargiz
le ke dagh aaega sine pe bahut ai sayyah
dekh is shahr ke khanDaron mein na jaana hargiz
chappe chappe pe hain yan gauhar-e-yakta tah-e-KHak
dafn hoga na kahin itna KHazana hargiz
miT gae tere miTane ke nishan bhi ab to
ai falak is se ziyaada na miTana hargiz
hum ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charKH
hum pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz
kabhi ai ilm-o-hunar ghar tha tumhaara dilli
hum ko bhule ho to ghar bhul na jaana hargiz
shairi mar chuki ab zinda na hogi hargiz
yaad kar kar ke use ji na kuDhana hargiz
'ghaalib'-o-'shaifta'-o-'nayyar'-o-'aruzda'-o-'zauq'
ab dikhaega ye shaklen na zamana hargiz
'momin'-o-'alwi'-o-sahbai'-o-'mamnun' ke baad
sher ka nam na lega koi dana hargiz
kar diya mar ke yaganon ne yagana hum ko
warna yan koi na tha hum mein yagana hargiz
'dagh'-o-'majruh' ko sun lo ki phir is gulshan mein
na sunega koi bulbul ka tarana hargiz
raat aaKHir hui aur bazm hui zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz
bazm-e-matam to nahin bazm-e-suKHan hai 'haali'
yan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz
- Nawa-e-Azadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.