marsiya kya hai
nazm jo marne vāloñ ke ġham meñ likheñ
us ko ham ai miyāñ marsiya hī kaheñ
marsiye lucknow meñ likhe jaate the
aur moharram meñ bachcho paḌhe jaate the
jal uThe yuuñ ḳhayāl-o-nazar ke diye
shā.iroñ ne likhe kitne hī marsiye
marsiyoñ meñ mile manzar-e-karbalā
jhuuT aur sach kā hai bachcho ik ma.arka
marsiye ke haiñ shā.ir 'anīs'-o-'dabīr'
marsiye meñ nahīñ in kī koī nazīr
marsiye meñ hai jazbāt kī intihā
hai ye rone rulāne kā ik silsila
ūñchī ik taan se apne īmān se
marsiya tum bhī 'hāfiz' kaho shaan se
nazm jo marne walon ke gham mein likhen
us ko hum ai miyan marsiya hi kahen
marsiye lucknow mein likhe jate the
aur moharram mein bachcho paDhe jate the
jal uThe yun KHayal-o-nazar ke diye
shairon ne likhe kitne hi marsiye
marsiyon mein mile manzar-e-karbala
jhuT aur sach ka hai bachcho ek marka
marsiye ke hain shair 'anis'-o-'dabir'
marsiye mein nahin in ki koi nazir
marsiye mein hai jazbaat ki intiha
hai ye rone rulane ka ek silsila
unchi ek tan se apne iman se
marsiya tum bhi 'hafiz' kaho shan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.