marsiya
udaas yādoñ kī muzmahil raat biit bhī jā
ki merī āñkhoñ meñ ab lahū hai na ḳhvāb koī
maiñ sab diye tāq-e-ārzū ke bujhā chukā huuñ
tū hī batā ab
ki marg-e-mahtāb o ḳhūn-e-anjum pe nazr kyā duuñ
na merā maazī na merā fardā
bikhar ga.ī thī jo zulf kab kī sañvar chukī hai
aur aane vaalī sahar bhī aa kar guzar chukī hai
udaas yādoñ kī muzmahil raat biit bhī jaa!
udas yaadon ki muzmahil raat bit bhi ja
ki meri aankhon mein ab lahu hai na KHwab koi
main sab diye taq-e-arzu ke bujha chuka hun
tu hi bata ab
ki marg-e-mahtab o KHun-e-anjum pe nazr kya dun
na mera mazi na mera farda
bikhar gai thi jo zulf kab ki sanwar chuki hai
aur aane wali sahar bhi aa kar guzar chuki hai
udas yaadon ki muzmahil raat bit bhi ja!
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 83)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.