marsiye
1
duur jā kar qarīb ho jitne
ham se kab tum qarīb the itne
ab na aaoge tum na jāoge
vasl-e-hijrāñ baham hue kitne
2
chāñd nikle kisī jānib tirī zebā.ī kā
rañg badle kisī sūrat shab-e-tanhā.ī kā
daulat-e-lab se phir ai ḳhusrav-e-shīrīñ-dahanāñ
aaj arzāñ ho koī harf shanāsā.ī kā
garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanāñ
tazkira chheḌe tirī pairahan-ārā.ī kā
sehn-e-gulshan meñ kabhī ai shah-e-shamshād-qadāñ
phir nazar aa.e salīqa tirī ra.anā.ī kā
ek baar aur masīhā-e-dil-e-dil-zadagāñ
koī va.ada koī iqrār masīhā.ī kā
sāz-o-sāmān baham pahuñchā hai rusvā.ī kā
3
kab tak dil kī ḳhair manā.eñ kab tak rah dikhlāoge
kab tak chain kī mohlat doge kab tak yaad na aaoge
biitā diid ummīd kā mausam ḳhaak uḌtī hai āñkhoñ meñ
kab bhejoge dard kā bādal kab barkhā barsāoge
ahd-e-vafā yā tark-e-mohabbat jo chāho so aap karo
apne bas kī baat hī kyā hai ham se kyā manvāoge
kis ne vasl kā sūraj dekhā kis par hijr kī raat Dhalī
gesuoñ vaale kaun the kyā the un ko kyā jatlāoge
'faiz' diloñ ke bhaag meñ hai ghar bharnā bhī luT jaanā bhī
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itrāoge
1
dur ja kar qarib ho jitne
hum se kab tum qarib the itne
ab na aaoge tum na jaoge
wasl-e-hijran baham hue kitne
2
chand nikle kisi jaanib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka
daulat-e-lab se phir ai KHusraw-e-shirin-dahanan
aaj arzan ho koi harf shanasai ka
garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan
tazkira chheDe teri pairahan-arai ka
sehn-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshad-qadan
phir nazar aae saliqa teri ranai ka
ek bar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan
koi wada koi iqrar masihai ka
saz-o-saman baham pahuncha hai ruswai ka
3
kab tak dil ki KHair manaen kab tak rah dikhlaoge
kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad na aaoge
bita did ummid ka mausam KHak uDti hai aankhon mein
kab bhejoge dard ka baadal kab barkha barsaoge
ahd-e-wafa ya tark-e-mohabbat jo chaho so aap karo
apne bas ki baat hi kya hai hum se kya manwaoge
kis ne wasl ka suraj dekha kis par hijr ki raat Dhali
gesuon wale kaun the kya the un ko kya jatlaoge
'faiz' dilon ke bhag mein hai ghar bharna bhi luT jaana bhi
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraoge
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 438)
- Author : Faiz Ahmad Faiz
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.