marta lamha
is lamhe kī ham-rāhī mahsūs karo
is se tumhārā bas itnā hī rishta hai
is kī raah kā ik be-masraf patthar ho
is kā dil koñpal kī tarah mulā.em hai
is duniyā aur is ke dukhoñ ke baare meñ
jab koī baat sunegā kumhlā jā.egā
ḳhāmoshī se is ke saa.e saa.e chalo
aur agar koī baat hī is se karnī hai
aane vaale achchhe dinoñ kī baat karo
is lamhe ki ham-rahi mahsus karo
is se tumhaara bas itna hi rishta hai
is ki rah ka ek be-masraf patthar ho
is ka dil konpal ki tarah mulaem hai
is duniya aur is ke dukhon ke bare mein
jab koi baat sunega kumhla jaega
KHamoshi se is ke sae sae chalo
aur agar koi baat hi is se karni hai
aane wale achchhe dinon ki baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.