mashrab
kyuuñ kahiye kisī se ki hameñ koī pilā.e
qismat meñ agar mai nahīñ mil jā.egī chaa.e
sahbā na ho shabnam sahī chaa.e ho ki zahrāb
shai bas vahī jo ġham-zada ke ġham ko bhulā.e
piine kā salīqa ho to be-mol bhī pī leñ
vīrāna bhī ho kaif-gah sahrā bhī sarā.e
saaqī ko hai be-jumbish-e-lab tishna-labī shaaq
kyuuñ sāqī-garī ke koī yuuñ naaz uThā.e
hai kaun ba-juz tere ai saaqī jo sambhāle
jab shiddat-e-nashsha tire rindoñ ko girā.e
mai-noshī bhī hai ma.arka-ārā.ī kā ik aks
bātil se jo Takrā na sake shīshoñ ko Takrā.e
mastī sahī lekin hai balā-ḳhairgī-e-josh
paimāna kī āġhosh se jo mai ko uḌaa.e
āḳhir kise andāza ḳhumār-e-shab-e-dī kā
ab mai-kada vīrāñ paḌā mai hai kahāñ aa.e
haañ taash ke pattoñ meñ kuchh ahbāb to mashġhūl
jo muntashir-e-yād ho dil kaise bhulā.e
kyun kahiye kisi se ki hamein koi pilae
qismat mein agar mai nahin mil jaegi chae
sahba na ho shabnam sahi chae ho ki zahrab
shai bas wahi jo gham-zada ke gham ko bhulae
pine ka saliqa ho to be-mol bhi pi len
virana bhi ho kaif-gah sahra bhi sarae
saqi ko hai be-jumbish-e-lab tishna-labi shaq
kyun saqi-gari ke koi yun naz uThae
hai kaun ba-juz tere ai saqi jo sambhaale
jab shiddat-e-nashsha tere rindon ko girae
mai-noshi bhi hai marka-arai ka ek aks
baatil se jo Takra na sake shishon ko Takrae
masti sahi lekin hai bala-KHairgi-e-josh
paimana ki aaghosh se jo mai ko uDae
aaKHir kise andaza KHumar-e-shab-e-di ka
ab mai-kada viran paDa mai hai kahan aae
han tash ke patton mein kuchh ahbab to mashghul
jo muntashir-e-yaad ho dil kaise bhulae
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 128)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.