mashriq haar gaya
'kipling' ne kahā thā
''mashriq mashriq hai
aur maġhrib maġhrib hai
aur donoñ kā milnā nā-mumkin hai''
lekin maġhrib mashriq ke ghar-āñgan meñ aa pahuñchā hai
merā naukar b.b.c se ḳhabreñ suntā hai
maiñ 'be-dil' aur 'hāfiz' ke bajā.e
'shakespeare' aur 'rilke' kī bāteñ kartā huuñ
aḳhbāroñ meñ
maġhrib ke chakloñ kī ḳhabreñ aur tasvīreñ chhaptī haiñ
mujh ko chuggī dāḌhī vaale 'akbar' kī khisyānī hañsī par
.....rahm aatā hai
iqbāl kī bāteñ (gustāḳhī hotī hai)
majzūb kī baḌ haiñ
'vāris-shāh' aur 'bullhe-shāh' aur 'bābā-farīd'?
chaliye jaane diije in bātoñ meñ kyā rakkhā hai
mashriq haar gayā hai!
ye 'baksar' aur 'palāsī' kī haar nahīñ hai
'Tīpū' aur jhāñsī-kī-rānī kī haar nahīñ hai
san-sattavan kī jañg-e-āzādī kī haar nahīñ hai
aisī haar to jiitī jā saktī hai (shāyad ham ne jiit bhī lī hai)
lekin mashriq apnī ruuh ke andar haar gayā hai
qubla-ḳhān tum haar ga.e ho!
aur tumhāre TukḌoñ par palne vaalā lālchī mārko-polo
.....jiit gayā hai
akbar-e-āzam! tum ko maġhrib kī jis ayyāra ne tohfe bheje the
aur baḌā bhaa.ī likkhā thā
us ke kutte bhī in logoñ se afzal haiñ
jo tumheñ mahā-balī aur zillullāh kahā karte the
mashriq kyā thaa?
jism se uupar uThne kī ik ḳhvāhish thī
shahvat aur jibillat kī tārīkī meñ
ik diyā jalāne kī koshish thii!
maiñ soch rahā huuñ, sūraj mashriq se niklā thā
(mashriq se jaane kitne sūraj nikle the)
lekin maġhrib har sūraj ko nigal gayā hai
''maiñ haar gayā hūñ''
maiñ ne apne ghar kī dīvāroñ par likkhā hai
''maiñ haar gayā hūñ''
maiñ ne apne ā.īñe par kālak mal dī hai
aur tasvīroñ par thūkā hai
hārne vaale chehre aise hote haiñ
merī ruuh ke andar ik aisā gahrā zaḳhm lagā hai
jis ke bharne ke liye sadiyāñ bhī nā-kāfī haiñ
maiñ apne bachche aur kutte donoñ ko 'Tīpū' kahtā huuñ
mujh se merā sab kuchh le lo
aur mujhe ik nafrat de do
mujh se merā sab kuchh le lo
aur mujhe ik ġhussa de do
aisī nafrat aisā ġhussa
jis kī aag meñ sab jal jaa.eñ
.....maiñ bhī!!
'kipling' ne kaha tha
mashriq mashriq hai
aur maghrib maghrib hai
aur donon ka milna na-mumkin hai
lekin maghrib mashriq ke ghar-angan mein aa pahuncha hai
mera naukar bbc se KHabren sunta hai
main 'be-dil' aur 'hafiz' ke bajae
'shakespeare' aur 'rilke' ki baaten karta hun
aKHbaron mein
maghrib ke chaklon ki KHabren aur taswiren chhapti hain
mujh ko chuggi daDhi wale 'akbar' ki khisyani hansi par
rahm aata hai
iqbaal ki baaten (gustaKHi hoti hai)
majzub ki baD hain
'waris-shah' aur 'bullhe-shah' aur 'baba-farid'?
chaliye jaane dije in baaton mein kya rakkha hai
mashriq haar gaya hai!
ye 'baksar' aur 'palasi' ki haar nahin hai
'Tipu' aur jhansi-ki-rani ki haar nahin hai
san-sattawan ki jang-e-azadi ki haar nahin hai
aisi haar to jiti ja sakti hai (shayad hum ne jit bhi li hai)
lekin mashriq apni ruh ke andar haar gaya hai
qubla-KHan tum haar gae ho!
aur tumhaare TukDon par palne wala lalchi marko-polo
jit gaya hai
akbar-e-azam! tum ko maghrib ki jis ayyara ne tohfe bheje the
aur baDa bhai likkha tha
us ke kutte bhi in logon se afzal hain
jo tumhein maha-bali aur zillullah kaha karte the
mashriq kya tha?
jism se upar uThne ki ek KHwahish thi
shahwat aur jibillat ki tariki mein
ek diya jalane ki koshish thi!
main soch raha hun, suraj mashriq se nikla tha
(mashriq se jaane kitne suraj nikle the)
lekin maghrib har suraj ko nigal gaya hai
main haar gaya hun
main ne apne ghar ki diwaron par likkha hai
main haar gaya hun
main ne apne aaine par kalak mal di hai
aur taswiron par thuka hai
haarne wale chehre aise hote hain
meri ruh ke andar ek aisa gahra zaKHm laga hai
jis ke bharne ke liye sadiyan bhi na-kafi hain
main apne bachche aur kutte donon ko 'Tipu' kahta hun
mujh se mera sab kuchh le lo
aur mujhe ek nafrat de do
mujh se mera sab kuchh le lo
aur mujhe ek ghussa de do
aisi nafrat aisa ghussa
jis ki aag mein sab jal jaen
main bhi!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.