mashriqi biwi
kis qadar jhagaḌtā hai
roz roz laḌtā hai
phir bhī jaane kyoñ āḳhir
mujh se ruuTh kar aksar
jab bhī ghar se jaatā hai
bahut yaad aatā hai
ḳhud ko DāñTtī huuñ maiñ
saarī ġhalatiyāñ us kī
rakh ke apne khāte meñ
hañs ke baat kartī huuñ
ye hī merā sheva hai
ki maiñ huuñ mashriqī biivī
kis qadar jhagaDta hai
roz roz laDta hai
phir bhi jaane kyon aaKHir
mujh se ruTh kar aksar
jab bhi ghar se jata hai
bahut yaad aata hai
KHud ko DanTti hun main
sari ghalatiyan us ki
rakh ke apne khate mein
hans ke baat karti hun
ye hi mera shewa hai
ki main hun mashriqi biwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.