mashwara
namī de kar jo miTTī ko
musalsal gūñdhte ho tum
batāo kyā banāoge
koī kuuza koī mūrat yā phir mahbūb kī sūrat
suḳhnavar huuñ kaho to mashvara ik duuñ
ye ghāTe kā hī saudā hai
yahāñ miTTī kī mūrat kī agar āñkheñ banāoge
tumheñ āñkheñ dikhā.egī
tarāshoge zabān us kī to turshī jhel pāoge
agar jo dil banāyā to hazāroñ ḳhvāhisheñ ban kar tumheñ tum se hī māñgegī
atā-e-ḳhil.at-e-ahmar use ḳhud-sar banā degī
vahāñ apnī mohabbat kā jo nādir taaj pahnāyā
ḳhudā ḳhud ko hī samjhegī
abhī bhī vaqt hai maano
irāda multavī kar do
ise miTTī hī rahne do
ise miTTī hī rahne do
nami de kar jo miTTi ko
musalsal gundhte ho tum
batao kya banaoge
koi kuza koi murat ya phir mahbub ki surat
suKHnawar hun kaho to mashwara ek dun
ye ghaTe ka hi sauda hai
yahan miTTi ki murat ki agar aankhen banaoge
tumhein aankhen dikhaegi
tarashoge zaban us ki to turshi jhel paoge
agar jo dil banaya to hazaron KHwahishen ban kar tumhein tum se hi mangegi
ata-e-KHilat-e-ahmar use KHud-sar bana degi
wahan apni mohabbat ka jo nadir taj pahnaya
KHuda KHud ko hi samjhegi
abhi bhi waqt hai mano
irada multawi kar do
ise miTTi hi rahne do
ise miTTi hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.