mashwara
sub.h so kar jo uTho
chaa.e piyo aur phir aḳhbār paḌho
amn kī saf.ha-e-avval pe likhī haiñ bāteñ
chand lafzoñ kī hasīñ sauġhāteñ
qatl honā thā jinheñ vo to sabhī qatl hue
aur jo bach ga.e jo zinda rahe qismat se
ek din un ko bhī marnā hogā
isī raste se guzarnā hogā
din meñ masrūf raho
peT kī aag bujhāne ke liye
kaam daftar meñ karo
sar ko filoñ meñ khapāo
apne afsar se Daro
shaam kā vaqt kisī dost ke saath
chaa.e ḳhāne meñ bitāo
tabsira gardish-e-daurāñ pe karo
jā.eza vaqt kā lo aur kathā apnī sunāo
raat ghar lauTo to jiine key duā.eñ māñgo
raat kyā jāniye kyā dikhlā.e
tum jo bach jaao to ghar jal jaa.e
subh so kar jo uTho
chae piyo aur phir aKHbar paDho
amn ki safha-e-awwal pe likhi hain baaten
chand lafzon ki hasin saughaten
qatl hona tha jinhen wo to sabhi qatl hue
aur jo bach gae jo zinda rahe qismat se
ek din un ko bhi marna hoga
isi raste se guzarna hoga
din mein masruf raho
peT ki aag bujhane ke liye
kaam daftar mein karo
sar ko filon mein khapao
apne afsar se Daro
sham ka waqt kisi dost ke sath
chae KHane mein bitao
tabsira gardish-e-dauran pe karo
jaeza waqt ka lo aur katha apni sunao
raat ghar lauTo to jine key duaen mango
raat kya jaaniye kya dikhlae
tum jo bach jao to ghar jal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.