masiha
tajrabe garche ye batāte haiñ
vaqt be-rahm ik sipāhī hai
jis kā mazbūt o āhanī panja
dil kā ā.īna toḌ detā hai
dasht-e-hastī meñ ābla-pā ko
hama-dam rāh-e-ġham dikhātā hai
nau-ba-nau intishār laatā hai
zindagī ko dukhī banātā hai
lekin ai ham-safar Thahar to sahī
tajrabe ye bhī to batāte haiñ
vaqt ik narm-dil masīhā hai
jis ke nāzuk hasīn phuul se haath
TuuTe ā.īne joḌ dete haiñ
jāma-e-tan ke chaak sete haiñ
uñgliyāñ zaḳhm-e-dil pe rakhte haiñ
ashk āñkhoñ se poñchh dete haiñ
tajrabe garche ye batate hain
waqt be-rahm ek sipahi hai
jis ka mazbut o aahani panja
dil ka aaina toD deta hai
dasht-e-hasti mein aabla-pa ko
hama-dam rah-e-gham dikhata hai
nau-ba-nau intishaar lata hai
zindagi ko dukhi banata hai
lekin ai ham-safar Thahar to sahi
tajrabe ye bhi to batate hain
waqt ek narm-dil masiha hai
jis ke nazuk hasin phul se hath
TuTe aaine joD dete hain
jama-e-tan ke chaak sete hain
ungliyan zaKHm-e-dil pe rakhte hain
ashk aankhon se ponchh dete hain
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 22)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.