masjid
duur bargad kī ghanī chhāñv meñ ḳhāmosh o malūl
jis jagah raat ke tārīk kafan ke nīche
maazī o haal gunahgār namāzī kī tarah
apne āmāl pe ro lete haiñ chupke chupke
ek vīrān sī masjid kā shikasta sā kalas
paas bahtī huī naddī ko takā kartā hai
aur TuuTī huī dīvār pe chanDol kabhī
giit phīkā sā koī chheḌ diyā kartā hai
gard-ālūd charāġhoñ ko havā ke jhoñke
roz miTTī kī na.ī tah meñ dabā jaate haiñ
aur jaate hue sūraj ke vidā.ī anfās
raushnī aa ke darīchoñ kī bujhā jaate haiñ
hasrat-e-shām-o-sahar baiTh ke gumbad ke qarīb
in pareshān duāoñ ko sunā kartī hai
jo tarastī hī rahīñ rañg-e-asar kī ḳhātir
aur TuuTā huā dil thaam liyā kartī hai
yā abābīl koī āmad-e-sarmā ke qarīb
us ko maskan ke liye DhūñD liyā kartī hai
aur mehrāb-e-shikasta meñ simaT kar pahroñ
dāstāñ sard mumālik kī kahā kartī hai
ek būḌhā gadhā dīvār ke saa.e meñ kabhī
uuñgh letā hai zarā baiTh ke jaate jaate
yā musāfir koī aa jaatā hai vo bhī Dar kar
ek lamhe ko Thahar jaatā hai aate aate
farsh jārob-kashī kyā hai samajhtā hī nahīñ
kal-adam ho gayā tasbīh ke dānoñ kā nizām
taaq meñ sham.a ke aañsū haiñ abhī tak baaqī
ab musallā hai na mimbar na muazzin na imaam
aa chuke sāhab-e-aflāk ke paiġhām o salām
koh o dar ab na suneñge vo sadā-e-jibraīl
ab kisī kaabe kī shāyad na paḌegī buniyād
kho ga.ī dasht-e-farāmoshī meñ āvāz-e-ḳhalīl
chāñd phīkī sī hañsī hañs ke guzar jaatā hai
Daal dete haiñ sitāre dhulī chādar apnī
is nigār-e-dil-e-yazdāñ ke janāze pe bas ik
chashm nam kartī hai shabnam yahāñ aksar apnī
ek mailā sā akelā sā fasurda sā diyā
roz rāsha-zada hāthoñ se kahā kartā hai
tum jalāte ho kabhī aa ke bujhāte bhī nahīñ
ek jaltā hai magar ek bujhā kartā hai
tez naddī kī har ik mauj talātum-bar-dosh
chīḳh uThtī hai vahīñ duur se faanī faanī
kal bahā lūñgī tujhe toḌ ke sāhil kī quyūd
aur phir gumbad o mīnār bhī paanī paanī
dur bargad ki ghani chhanw mein KHamosh o malul
jis jagah raat ke tarik kafan ke niche
mazi o haal gunahgar namazi ki tarah
apne aamal pe ro lete hain chupke chupke
ek viran si masjid ka shikasta sa kalas
pas bahti hui naddi ko taka karta hai
aur TuTi hui diwar pe chanDol kabhi
git phika sa koi chheD diya karta hai
gard-alud charaghon ko hawa ke jhonke
roz miTTi ki nai tah mein daba jate hain
aur jate hue suraj ke widai anfas
raushni aa ke darichon ki bujha jate hain
hasrat-e-sham-o-sahar baiTh ke gumbad ke qarib
in pareshan duaon ko suna karti hai
jo tarasti hi rahin rang-e-asar ki KHatir
aur TuTa hua dil tham liya karti hai
ya ababil koi aamad-e-sarma ke qarib
us ko maskan ke liye DhunD liya karti hai
aur mehrab-e-shikasta mein simaT kar pahron
dastan sard mumalik ki kaha karti hai
ek buDha gadha diwar ke sae mein kabhi
ungh leta hai zara baiTh ke jate jate
ya musafir koi aa jata hai wo bhi Dar kar
ek lamhe ko Thahar jata hai aate aate
farsh jarob-kashi kya hai samajhta hi nahin
kal-adam ho gaya tasbih ke danon ka nizam
taq mein shama ke aansu hain abhi tak baqi
ab musalla hai na mimbar na muazzin na imam
aa chuke sahab-e-aflak ke paigham o salam
koh o dar ab na sunenge wo sada-e-jibrail
ab kisi kabe ki shayad na paDegi buniyaad
kho gai dasht-e-faramoshi mein aawaz-e-KHalil
chand phiki si hansi hans ke guzar jata hai
Dal dete hain sitare dhuli chadar apni
is nigar-e-dil-e-yazdan ke janaze pe bas ek
chashm nam karti hai shabnam yahan aksar apni
ek maila sa akela sa fasurda sa diya
roz rasha-zada hathon se kaha karta hai
tum jalate ho kabhi aa ke bujhate bhi nahin
ek jalta hai magar ek bujha karta hai
tez naddi ki har ek mauj talatum-bar-dosh
chiKH uThti hai wahin dur se fani fani
kal baha lungi tujhe toD ke sahil ki quyud
aur phir gumbad o minar bhi pani pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.