masjid-e-ahmarin
maiñ masjid-e-ahmarīñ ke dāman pe sabt patthar
navāh-e-hairat-kada tilismāt-e-āfiyat thā
na merā fikr-o-nazar se rishta na merā īhām-goī sheva
faqat maiñ shāhid ibādatoñ se chamakte lamhoñ kī dāstāñ kā
darūn-e-masjid khaḌe manāre azaan dete
to vādī-e-ishq se tulūa namāz hotī
imaam aur muqtadī safīrān-e-ahl-e-īmāñ
huzūr-yābī kī nudratoñ se kalām karte salām karte
maiñ masjid-e-ahmarīñ ke dāman pe sabt patthar
gavāh-e-avval gavāh-e-āḳhir huuñ us ḳhajil lamha-e-qafas kā
jab ā.inoñ kī ragoñ meñ taaza lahū kī hairat
kā ḳhuuñ huā thā
ajab tulūa sahar huī thī
falak kī surḳhī utar ke chashm-e-tapāñ meñ aa.ī
chahār samtoñ meñ ḳhandaqeñ thiiñ
fazā meñ raqsāñ thī bū-e-vahshat
darūn-e-masjid bhī kalma-go the
vo kalma-go the ki jin ke hāthoñ meñ aslaha thā
chahār jānib gharoñ meñ qaidī the
jin ke hoñToñ se bad-duā.eñ phisal rahī thiiñ
maiñ qalb-e-shahr-e-salām andar
nam-o-tabassum se āshnā thā magar ye din the
ḳhajil fasānoñ kī bāzyābī kī sūratoñ ke
safīr aate safīr jaate bilakte bachchoñ kī āh-o-zārī
nahīf lahjoñ kī kapkapāhaT samā.atoñ se ulajh rahī thī
fazā meñ thā ḳhauf dhund jaise
darūn-e-masjid vo ahal-e-mimbar vo ahl-e-jubba
sifāratoñ kī sabīl-e-maḳhlūt meñ ulajh kar
sirāt-e-abyaz se haT ga.e the
maiñ Dar gayā thā maiñ masjid-e-ahmarīñ ke dāman pe sabt patthar
maiñ īstāda huuñ ab bhī lekin
na masjid-e-ahmarīñ hai vaisī na muqtadī haiñ na tifl-o-mādar
na ahl-e-mimbar haiñ jin kī taqrīr ne fazāoñ kā saañs khīñchā
na shorisheñ shahr-e-kalma-go meñ
magar haqīqat meñ kyā huā thā
lahū maiñ luthḌī safoñ se pūchho
chaman meñ murda sifāratoñ kī shabīheñ dekho
maiñ masjid-e-ahmarīñ ke dāman pe sabt patthar
ka.ī zamānoñ se ro rahā huuñ
mujhe basārat nahīñ basīrat se dekhiyegā
main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar
nawah-e-hairat-kada tilismat-e-afiyat tha
na mera fikr-o-nazar se rishta na mera iham-goi shewa
faqat main shahid ibaadaton se chamakte lamhon ki dastan ka
darun-e-masjid khaDe manare azan dete
to wadi-e-ishq se tulua namaz hoti
imam aur muqtadi safiran-e-ahl-e-iman
huzur-yabi ki nudraton se kalam karte salam karte
main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar
gawah-e-awwal gawah-e-aKHir hun us KHajil lamha-e-qafas ka
jab aainon ki ragon mein taza lahu ki hairat
ka KHun hua tha
ajab tulua sahar hui thi
falak ki surKHi utar ke chashm-e-tapan mein aai
chahaar samton mein KHandaqen thin
faza mein raqsan thi bu-e-wahshat
darun-e-masjid bhi kalma-go the
wo kalma-go the ki jin ke hathon mein aslaha tha
chahaar jaanib gharon mein qaidi the
jin ke honTon se bad-duaen phisal rahi thin
main qalb-e-shahr-e-salam andar
nam-o-tabassum se aashna tha magar ye din the
KHajil fasanon ki bazyabi ki suraton ke
safir aate safir jate bilakte bachchon ki aah-o-zari
nahif lahjon ki kapkapahaT samaaton se ulajh rahi thi
faza mein tha KHauf dhund jaise
darun-e-masjid wo ahal-e-mimbar wo ahl-e-jubba
sifaraton ki sabil-e-maKHlut mein ulajh kar
siraat-e-abyaz se haT gae the
main Dar gaya tha main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar
main istada hun ab bhi lekin
na masjid-e-ahmarin hai waisi na muqtadi hain na tifl-o-madar
na ahl-e-mimbar hain jin ki taqrir ne fazaon ka sans khincha
na shorishen shahr-e-kalma-go mein
magar haqiqat mein kya hua tha
lahu main luthDi safon se puchho
chaman mein murda sifaraton ki shabihen dekho
main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar
kai zamanon se ro raha hun
mujhe basarat nahin basirat se dekhiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.