Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masjid-e-qurtuba

Allama Iqbal

masjid-e-qurtuba

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    haspaaniya kii sar-zamiin bil-KHusuus qartaba me.n likhii ga.ii

    silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-hādsāt

    silsila-e-roz-o-shab asl-e-hayāt-o-mamāt

    silsila-e-roz-o-shab tār-e-harīr-e-do-rañg

    jis se banātī hai zaat apnī qabā-e-sifāt

    silsila-e-roz-o-shab sāz-e-azal fuġhāñ

    jis se dikhātī hai zaat zer-o-bam-e-mumkināt

    tujh ko parakhtā hai ye mujh ko parakhtā hai ye

    silsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kā.enāt

    ho agar kam ayaar maiñ huuñ agar kam ayaar

    maut hai terī barāt maut hai merī barāt

    tere shab-o-roz aur haqīqat hai kyā

    ek zamāne rau jis meñ na din hai na raat

    āni-o-fānī tamām mojaza-hā-e-hunar

    kār-e-jahāñ be-sabāt kār-e-jahāñ be-sabāt

    avval o āḳhir fanā bātin o zāhir fanā

    naqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-āḳhir fanā

    hai magar is naqsh meñ rañg-e-sabāt-e-davām

    jis ko kiyā ho kisī mard-e-ḳhudā ne tamām

    mard-e-ḳhudā amal ishq se sāhab faroġh

    ishq hai asl-e-hayāt maut hai us par harām

    tund o subuk-sair hai garche zamāne rau

    ishq ḳhud ik sail hai sail ko letā hai thaam

    ishq taqvīm meñ asr-e-ravāñ ke sivā

    aur zamāne bhī haiñ jin nahīñ koī naam

    ishq dam-e-jibra.īl ishq dil-e-mustafā

    ishq ḳhudā rasūl ishq ḳhudā kalām

    ishq mastī se hai paikar-e-gil tābnāk

    ishq hai sahbā-e-ḳhām ishq hai kās-ul-karām

    ishq faqīh-e-haram ishq amīr-e-junūud

    ishq hai ibnus-sabīl is ke hazāroñ maqām

    ishq ke mizrāb se naġhma-e-tār-e-hayāt

    ishq se nūr-e-hayāt ishq se nār-e-hayāt

    ai haram-e-qurtuba ishq se terā vajūd

    ishq sarāpā davām jis meñ nahīñ raft o buud

    rañg ho ḳhisht o sañg chañg ho harf o saut

    mojaza-e-fan hai ḳhūn-e-jigar se numūd

    qatra-e-ḳhūn-e-jigar sil ko banātā hai dil

    ḳhūn-e-jigar se sadā soz o surūr o surūd

    terī fazā dil-faroz merī navā sīna-soz

    tujh se diloñ huzūr mujh se diloñ kushūd

    arsh-e-mo.allā se kam sīna-e-ādam nahīñ

    garche kaf-e-ḳhāk had hai sip.har-e-kabūd

    paikar-e-nūrī ko hai sajda mayassar to kyā

    us ko mayassar nahīñ soz-o-gudāz-e-sajūd

    kāfir-e-hindi huuñ maiñ dekh mirā zauq o shauq

    dil meñ salāt o durūd lab pe salāt o durūd

    shauq mirī lai meñ hai shauq mirī nai meñ hai

    naġhma-e-allāh-hū mere rag-o-pai meñ hai

    terā jalāl o jamāl mard-e-ḳhudā dalīl

    vo bhī jalīl o jamīl bhī jalīl o jamīl

    terī binā pā.edār tere sutūñ be-shumār

    shaam ke sahrā meñ ho jaise hujūm-e-nuḳhīl

    tere dar-o-bām par vādī-e-aiman nuur

    terā minār-e-buland jalva-gah-e-jibra.īl

    miT nahīñ saktā kabhī mard-e-musalmāñ ki hai

    us azānoñ se faash sirr-e-kalīm-o-ḳhalīl

    us zamīñ be-hudūd us ufuq be-saġhūr

    us ke samundar mauj dajla o danyūb o niil

    us ke zamāne ajiib us ke fasāne ġharīb

    ahd-e-kuhan ko diyā us ne payām-e-rahīl

    sāqi-e-rabāb-e-zauq fāras-e-maidān-e-shauq

    baada hai us rahīq teġh hai us asiil

    mard-e-sipāhī hai vo us zirah lā-ilāh

    sāya-e-shamshīr meñ us panah lā-ilāh

    tujh se huā āshkār banda-e-momin raaz

    us ke dinoñ tapish us shaboñ gudāz

    us maqām-e-buland us ḳhayāl-e-azīm

    us surūr us shauq us niyāz us naaz

    haath hai allāh banda-e-momin haath

    ġhālib o kār-āfrīñ kār-kushā kārsāz

    ḳhākī o nūrī-nihād banda-e-maulā-sifāt

    har do-jahāñ se ġhanī us dil-e-be-niyāz

    us umīdeñ qalīl us ke maqāsid jalīl

    us adā dil-fareb us nigah dil-navāz

    aaj bhī is des meñ aam hai chashm-e-ġhazāl

    aur nigāhoñ ke tiir aaj bhī haiñ dil-nashīñ

    bū-e-yaman aaj bhī us havāoñ meñ hai

    rañg-e-hijāz aaj bhī us navāoñ meñ hai

    dīda-e-anjum meñ hai terī zamīñ āsmāñ

    aah ki sadiyoñ se hai terī fazā be-azāñ

    kaun vaadī meñ hai kaun manzil meñ hai

    ishq-e-balā-ḳhez qāfla-e-saḳht-jāñ

    dekh chukā almanī shorish-e-islāh-e-dīñ

    jis ne na chhoḌe kahīñ naqsh-e-kuhan ke nishāñ

    harf-e-ġhalat ban ga.ī ismat-e-pīr-e-kunisht

    aur huī fikr kashti-e-nāzuk ravāñ

    chashm-e-farānsīs bhī dekh chukī inqalāb

    jis se digar-gūñ huā maġhrabiyoñ jahāñ

    millat-e-rūmī-nizhād kohna-parastī se piir

    lazzat-e-tajdīda se vo bhī huī phir javāñ

    rūh-e-musalmāñ meñ hai aaj vahī iztirāb

    rāz-e-ḳhudā.ī hai ye kah nahīñ saktī zabāñ

    narm dam-e-guftugū garm dam-e-justujū

    razm ho bazm ho pāk-dil o pāk-bāz

    nuqta-e-parkār-e-haq mard-e-ḳhudā yaqīñ

    aur ye aalam tamām vahm o tilism o majāz

    aql manzil hai vo ishq hāsil hai vo

    halqa-e-āfāq meñ garmi-e-mahfil hai vo

    kāba-e-arbāb-e-fan satvat-e-dīn-e-mubīñ

    tujh se haram martabat undulusiyoñ zamīñ

    hai tah-e-gardūñ agar husn meñ terī nazīr

    qalb-e-musalmāñ meñ hai aur nahīñ hai kahīñ

    aah vo mardān-e-haq vo arabī shahsavār

    hāmil-e-ḳhalq-e-azīm sāhab-e-sidq-o-yaqīñ

    jin hukūmat se hai faash ye ramz-e-ġharīb

    saltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shāhī nahīñ

    jin nigāhoñ ne tarbiyat-e-sharq-o-ġharb

    zulmat-e-europe meñ thī jin ḳhirad-rāh-bīñ

    jin ke lahū ke tufail aaj bhī haiñ undulusī

    ḳhush-dil o garam-iḳhtilāt saada o raushan-jabīñ

    dekhiye is bahr tah se uchhaltā hai kyā

    gumbad-e-nīlofarī rañg badaltā hai kyā

    vādi-e-koh-sār meñ ġharq-e-shafaq hai sahāb

    lāl-e-badaḳhshāñ ke Dher chhoḌ gayā āftāb

    saada o pur-soz hai duḳhtar-e-dahqāñ giit

    kashtī-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabāb

    āb-e-ravān-e-kabīr tere kināre koī

    dekh rahā hai kisī aur zamāne ḳhvāb

    ālam-e-nau hai abhī parda-e-taqdīr meñ

    merī nigāhoñ meñ hai us sahar be-hijāb

    parda uThā duuñ agar chehra-e-afkār se

    na sakegā farañg merī navāoñ taab

    jis meñ na ho inqalāb maut hai vo zindagī

    rūh-e-umam hayāt kashmakash-e-inqilāb

    sūrat-e-shamshīr hai dast-e-qazā meñ vo qaum

    kartī hai jo har zamāñ apne amal hisāb

    naqsh haiñ sab nā-tamām ḳhūn-e-jigar ke baġhair

    naġhma hai saudā-e-ḳhām ḳhūn-e-jigar ke baġhair

    silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-hadsat

    silsila-e-roz-o-shab asl-e-hayat-o-mamat

    silsila-e-roz-o-shab tar-e-harir-e-do-rang

    jis se banati hai zat apni qaba-e-sifat

    silsila-e-roz-o-shab saz-e-azal ki fughan

    jis se dikhati hai zat zer-o-bam-e-mumkinat

    tujh ko parakhta hai ye mujh ko parakhta hai ye

    silsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaenat

    tu ho agar kam ayar main hun agar kam ayar

    maut hai teri baraat maut hai meri baraat

    tere shab-o-roz ki aur haqiqat hai kya

    ek zamane ki rau jis mein na din hai na raat

    aani-o-fani tamam mojaza-ha-e-hunar

    kar-e-jahan be-sabaat kar-e-jahan be-sabaat

    awwal o aaKHir fana baatin o zahir fana

    naqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aKHir fana

    hai magar is naqsh mein rang-e-sabaat-e-dawam

    jis ko kiya ho kisi mard-e-KHuda ne tamam

    mard-e-KHuda ka amal ishq se sahab farogh

    ishq hai asl-e-hayat maut hai us par haram

    tund o subuk-sair hai garche zamane ki rau

    ishq KHud ek sail hai sail ko leta hai tham

    ishq ki taqwim mein asr-e-rawan ke siwa

    aur zamane bhi hain jin ka nahin koi nam

    ishq dam-e-jibrail ishq dil-e-mustafa

    ishq KHuda ka rasul ishq KHuda ka kalam

    ishq ki masti se hai paikar-e-gil tabnak

    ishq hai sahba-e-KHam ishq hai kas-ul-karam

    ishq faqih-e-haram ishq amir-e-junuud

    ishq hai ibnus-sabil is ke hazaron maqam

    ishq ke mizrab se naghma-e-tar-e-hayat

    ishq se nur-e-hayat ishq se nar-e-hayat

    ai haram-e-qurtuba ishq se tera wajud

    ishq sarapa dawam jis mein nahin raft o bud

    rang ho ya KHisht o sang chang ho ya harf o saut

    mojaza-e-fan ki hai KHun-e-jigar se numud

    qatra-e-KHun-e-jigar sil ko banata hai dil

    KHun-e-jigar se sada soz o surur o surud

    teri faza dil-faroz meri nawa sina-soz

    tujh se dilon ka huzur mujh se dilon ki kushud

    arsh-e-moalla se kam sina-e-adam nahin

    garche kaf-e-KHak ki had hai siphar-e-kabud

    paikar-e-nuri ko hai sajda mayassar to kya

    us ko mayassar nahin soz-o-gudaz-e-sajud

    kafir-e-hindi hun main dekh mera zauq o shauq

    dil mein salat o durud lab pe salat o durud

    shauq meri lai mein hai shauq meri nai mein hai

    naghma-e-allah-hu mere rag-o-pai mein hai

    tera jalal o jamal mard-e-KHuda ki dalil

    wo bhi jalil o jamil tu bhi jalil o jamil

    teri bina paedar tere sutun be-shumar

    sham ke sahra mein ho jaise hujum-e-nuKHil

    tere dar-o-baam par wadi-e-aiman ka nur

    tera minar-e-buland jalwa-gah-e-jibrail

    miT nahin sakta kabhi mard-e-musalman ki hai

    us ki azanon se fash sirr-e-kalim-o-KHalil

    us ki zamin be-hudud us ka ufuq be-saghur

    us ke samundar ki mauj dajla o danyub o nil

    us ke zamane ajib us ke fasane gharib

    ahd-e-kuhan ko diya us ne payam-e-rahil

    saqi-e-rabab-e-zauq faras-e-maidan-e-shauq

    baada hai us ka rahiq tegh hai us ki asil

    mard-e-sipahi hai wo us ki zirah la-ilah

    saya-e-shamshir mein us ki panah la-ilah

    tujh se hua aashkar banda-e-momin ka raaz

    us ke dinon ki tapish us ki shabon ka gudaz

    us ka maqam-e-buland us ka KHayal-e-azim

    us ka surur us ka shauq us ka niyaz us ka naz

    hath hai allah ka banda-e-momin ka hath

    ghaalib o kar-afrin kar-kusha karsaz

    KHaki o nuri-nihad banda-e-maula-sifat

    har do-jahan se ghani us ka dil-e-be-niyaz

    us ki umiden qalil us ke maqasid jalil

    us ki ada dil-fareb us ki nigah dil-nawaz

    aaj bhi is des mein aam hai chashm-e-ghazal

    aur nigahon ke tir aaj bhi hain dil-nashin

    bu-e-yaman aaj bhi us ki hawaon mein hai

    rang-e-hijaz aaj bhi us ki nawaon mein hai

    dida-e-anjum mein hai teri zamin aasman

    aah ki sadiyon se hai teri faza be-azan

    kaun si wadi mein hai kaun si manzil mein hai

    ishq-e-bala-KHez ka qafla-e-saKHt-jaan

    dekh chuka almani shorish-e-islah-e-din

    jis ne na chhoDe kahin naqsh-e-kuhan ke nishan

    harf-e-ghalat ban gai ismat-e-pir-e-kunisht

    aur hui fikr ki kashti-e-nazuk rawan

    chashm-e-faransis bhi dekh chuki inqalab

    jis se digar-gun hua maghrabiyon ka jahan

    millat-e-rumi-nizhad kohna-parasti se pir

    lazzat-e-tajdida se wo bhi hui phir jawan

    ruh-e-musalman mein hai aaj wahi iztirab

    raaz-e-KHudai hai ye kah nahin sakti zaban

    narm dam-e-guftugu garm dam-e-justuju

    razm ho ya bazm ho pak-dil o pak-baz

    nuqta-e-parkar-e-haq mard-e-KHuda ka yaqin

    aur ye aalam tamam wahm o tilism o majaz

    aql ki manzil hai wo ishq ka hasil hai wo

    halqa-e-afaq mein garmi-e-mahfil hai wo

    kaba-e-arbab-e-fan satwat-e-din-e-mubin

    tujh se haram martabat undulusiyon ki zamin

    hai tah-e-gardun agar husn mein teri nazir

    qalb-e-musalman mein hai aur nahin hai kahin

    aah wo mardan-e-haq wo arabi shahsawar

    hamil-e-KHalq-e-azim sahab-e-sidq-o-yaqin

    jin ki hukumat se hai fash ye ramz-e-gharib

    saltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shahi nahin

    jin ki nigahon ne ki tarbiyat-e-sharq-o-gharb

    zulmat-e-europe mein thi jin ki KHirad-rah-bin

    jin ke lahu ke tufail aaj bhi hain undulusi

    KHush-dil o garam-iKHtilat sada o raushan-jabin

    dekhiye is bahr ki tah se uchhalta hai kya

    gumbad-e-nilofari rang badalta hai kya

    wadi-e-koh-sar mein gharq-e-shafaq hai sahab

    lal-e-badaKHshan ke Dher chhoD gaya aaftab

    sada o pur-soz hai duKHtar-e-dahqan ka git

    kashti-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabab

    aab-e-rawan-e-kabir tere kinare koi

    dekh raha hai kisi aur zamane ka KHwab

    aalam-e-nau hai abhi parda-e-taqdir mein

    meri nigahon mein hai us ki sahar be-hijab

    parda uTha dun agar chehra-e-afkar se

    la na sakega farang meri nawaon ki tab

    jis mein na ho inqalab maut hai wo zindagi

    ruh-e-umam ki hayat kashmakash-e-inqilab

    surat-e-shamshir hai dast-e-qaza mein wo qaum

    karti hai jo har zaman apne amal ka hisab

    naqsh hain sab na-tamam KHun-e-jigar ke baghair

    naghma hai sauda-e-KHam KHun-e-jigar ke baghair

    RECITATIONS

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Shamsur Rahman Faruqi

    masjid-e-qurtuba Shamsur Rahman Faruqi

    Nomaan Shauque

    masjid-e-qurtuba Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now