maskan
aa
ki is dil meñ tere liye hai bahut sī jagah
ye to donoñ ko ma.alūm hai
ārzūoñ kī kasrat se tañgī kā maarā huā
hasratoñ se pareshān hai
us kī bosīdgī ke gavāh
mohabbat vafā dushmanī buġhz kiina hasad
ye jahāñ muḳhtasar
aur to izz-o-jal
phir bhī itnā yaqīñ kar hī saktā hai tū
ye vo ghar hai ki jis meñ agar tū birāje
ye terā bane
aur tab tak rahegā baserā tirā
jab tilak tū ise
apne rahne ke qābil samajhtā rahe!
aa
ki is dil mein tere liye hai bahut si jagah
ye to donon ko malum hai
aarzuon ki kasrat se tangi ka mara hua
hasraton se pareshan hai
us ki bosidgi ke gawah
mohabbat wafa dushmani bughz kina hasad
ye jahan muKHtasar
aur to izz-o-jal
phir bhi itna yaqin kar hi sakta hai tu
ye wo ghar hai ki jis mein agar tu biraje
ye tera bane
aur tab tak rahega basera tera
jab tilak tu ise
apne rahne ke qabil samajhta rahe!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.