tumheñ merā cigarette piinā burā lagtā hai
aur mujhe tumhārā raah chaltī laḌkiyoñ par jumle kasnā
hamārī dostī
maslahat kī saḌak par chalte hue
zabt ke āḳhirī moḌ tak aa ga.ī hai
ab hameñ muskurāhaToñ kā tabādlā kar lenā chāhiye
ho saktā hai
aane vaalā vaqt
is takalluf kā ravādār na ho
tumhein mera cigarette pina bura lagta hai
aur mujhe tumhaara rah chalti laDkiyon par jumle kasna
hamari dosti
maslahat ki saDak par chalte hue
zabt ke aaKHiri moD tak aa gai hai
ab hamein muskurahaTon ka tabaadla kar lena chahiye
ho sakta hai
aane wala waqt
is takalluf ka rawadar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.