maslub
mere kamre kī
bistar ke sāmne vaalī dīvār
jis par khiḌkī hai na koī darvāza
is ḳhālī dīvār par
mujhe apne andar kā ḳhalā mujassam dikhā.ī detā hai
is liye maiñ ne us ḳhalā ko
kisī painting calender yā tasvīr se bharne kī koshish nahīñ kī
is dīvār ke ain vast meñ
chhat se andāzan DeḌh foot ke fāsle par
ek dūdhiyā bulb lagā hai
jise aksar raat bhar bujhnā nasīb nahīñ hotā
aur bulb ke nīche
chand inch ke fāsle par
ghaḌī laTkāne ke liye ek kiil Thoñkī ga.ī hai
magar ab us kiil par ghaḌī maujūd nahīñ
balki vaqt ḳhud laTkā huā hai
mere kamre ki
bistar ke samne wali diwar
jis par khiDki hai na koi darwaza
is KHali diwar par
mujhe apne andar ka KHala mujassam dikhai deta hai
is liye main ne us KHala ko
kisi painting calender ya taswir se bharne ki koshish nahin ki
is diwar ke ain wast mein
chhat se andazan DeDh foot ke fasle par
ek dudhiya bulb laga hai
jise aksar raat bhar bujhna nasib nahin hota
aur bulb ke niche
chand inch ke fasle par
ghaDi laTkane ke liye ek kil Thonki gai hai
magar ab us kil par ghaDi maujud nahin
balki waqt KHud laTka hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.