Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masnawi kya hai

Hafiz Karnataki

masnawi kya hai

Hafiz Karnataki

MORE BYHafiz Karnataki

    lafz masnā se ye jo miyāñ hai banī

    do ke ma.anī ko zāhir kare masnavī

    ḳhuub arabī meñ aur fārsī meñ chalī

    aa ke urdu meñ bhī ḳhuub phūlī-phalī

    mauzūñ paa.ī ga.ī dāstāñ ke liye

    ye munāsib hai nazm-e-ravāñ ke liye

    sīdhī saadī hai jo masnavī zabāñ

    hai 'hasan' miir ḳhuub sehrul-bayāñ

    is meñ tahzīb aks dekho miyāñ

    miltā hai jā-ba-jā ik samājī bayāñ

    shaiḳh 'rūmī' jo guzre haiñ ik maulvī

    un duniyā meñ mash.hūr hai masnavī

    masnavī ke bhī maḳhsūs auzān haiñ

    jo ġhazal tarah bachcho āsān haiñ

    'hāfiz' is fazā ko banāte raho

    bachchoñ ko masnavī tum paḌhāte raho

    lafz masna se ye jo miyan hai bani

    do ke mani ko zahir kare masnawi

    KHub arabi mein aur farsi mein chali

    aa ke urdu mein bhi KHub phuli-phali

    mauzun pai gai dastan ke liye

    ye munasib hai nazm-e-rawan ke liye

    sidhi sadi hai jo masnawi ki zaban

    hai 'hasan' mir ki KHub sehrul-bayan

    is mein tahzib ka aks dekho miyan

    milta hai ja-ba-ja ek samaji bayan

    shaiKH 'rumi' jo guzre hain ek maulwi

    un ki duniya mein mashhur hai masnawi

    masnawi ke bhi maKHsus auzan hain

    jo ghazal ki tarah bachcho aasan hain

    'hafiz' is ki faza ko banate raho

    bachchon ko masnawi tum paDhate raho

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now