mastana hijDa
maulā tirī galī meñ
sardī baras rahī thī
shāyad isī sabab se
mastāna hījḌā bhī
visky pahan ke niklā
tennis ke baal
kastī añgiyā meñ
ghus-ghusā ke
pistān ban ga.e the
shahvat ke surḳh Dore
surma lagāne vaalī
āñkhoñ meñ tan ga.e the
ik dam se
chalte chalte
us ne kamar ke jhaTke se
raah chalne vaale
shohdoñ, harām-ḳhoroñ
se iltifāt māñgā
aur da.avat-e-nazar dī
us ke zaḳhīm
kūlhoñ ne
aag aur lazzat
ḳhālī diloñ meñ bhar dī
us ne hatheliyoñ ke gadde
ragaḌ ragaḌ ke
vo tāliyāñ uḌā.īñ
mehñdī ke rañg
titlī ban ke havā meñ
apne par taulne lage the
phir jān-dār hoñToñ
se pān-dār bose
chhan chhan chhalak chhalak ke
har manchalī nazar meñ
ras gholne lage the
vo aaj lahr meñ thā
missī kī chhab dikhā ke
nathane phulā phulā ke
uñglī nachā nachā ke
us ne maze meñ aa ke
hañs kar kahā ki ''sālo''
maiñ to janam janam se
apne hī āñsuoñ meñ
Duubā huā paḌā huuñ
shāyad zamīr-e-ālam ke
tañg maqbare meñ
zinda gaḌā huā huuñ
maula teri gali mein
sardi baras rahi thi
shayad isi sabab se
mastana hijDa bhi
wisky pahan ke nikla
tennis ke baal
kasti angiya mein
ghus-ghusa ke
pistan ban gae the
shahwat ke surKH Dore
surma lagane wali
aankhon mein tan gae the
ek dam se
chalte chalte
us ne kamar ke jhaTke se
rah chalne wale
shohdon, haram-KHoron
se iltifat manga
aur dawat-e-nazar di
us ke zaKHim
kulhon ne
aag aur lazzat
KHali dilon mein bhar di
us ne hatheliyon ke gadde
ragaD ragaD ke
wo taliyan uDain
mehndi ke rang
titli ban ke hawa mein
apne par taulne lage the
phir jaan-dar honTon
se pan-dar bose
chhan chhan chhalak chhalak ke
har manchali nazar mein
ras gholne lage the
wo aaj lahr mein tha
missi ki chhab dikha ke
nathane phula phula ke
ungli nacha nacha ke
us ne maze mein aa ke
hans kar kaha ki salo
main to janam janam se
apne hi aansuon mein
Duba hua paDa hun
shayad zamir-e-alam ke
tang maqbare mein
zinda gaDa hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.