Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mat qatl karo aawazon ko

Ahmad Faraz

mat qatl karo aawazon ko

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    tum apne aqīdoñ ke neze

    har dil meñ utāre jaate ho

    ham log mohabbat vaale haiñ

    tum ḳhanjar kyuuñ lahrāte ho

    is shahr meñ naġhme bahne do

    bastī meñ hameñ bhī rahne do

    ham pālanhār haiñ phūloñ ke

    ham ḳhushbū ke rakhvāle haiñ

    tum kis lahū piine aa.e

    ham pyaar sikhāne vaale haiñ

    is shahr meñ phir kyā dekhoge

    jab harf yahāñ mar jā.egā

    jab teġh pe lai kaT jā.egī

    jab sher safar kar jā.egā

    jab qatl huā sur sāzoñ

    jab kaal paḌā āvāzoñ

    jab shahr khañDar ban jā.egā

    phir kis par sañg uThāoge

    apne chehre ā.īnoñ meñ

    jab dekhoge Dar jāoge

    tum apne aqidon ke neze

    har dil mein utare jate ho

    hum log mohabbat wale hain

    tum KHanjar kyun lahraate ho

    is shahr mein naghme bahne do

    basti mein hamein bhi rahne do

    hum palanhaar hain phulon ke

    hum KHushbu ke rakhwale hain

    tum kis ka lahu pine aae

    hum pyar sikhane wale hain

    is shahr mein phir kya dekhoge

    jab harf yahan mar jaega

    jab tegh pe lai kaT jaegi

    jab sher safar kar jaega

    jab qatl hua sur sazon ka

    jab kal paDa aawazon ka

    jab shahr khanDar ban jaega

    phir kis par sang uThaoge

    apne chehre aainon mein

    jab dekhoge Dar jaoge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now