mata-e-alfaz
ye jo tum mujh se gurezāñ ho mirī baat suno
ham isī chhoTī sī duniyā ke kisī raste par
itifāqan kabhī bhūle se kahīñ mil jaa.eñ
kyā hī achchhā ho ki ham dūsre logoñ kī tarah
kuchh takalluf se sahī Thahar ke kuchh baat kareñ
aur is arsa-e-aḳhlāq-o-muravvat meñ kabhī
ek pal ke liye vo sā.at-e-nāzuk aa jaa.e
nāḳhun-e-lafz kisī yaad ke zaḳhmoñ ko chhue
ik jhijaktā huā jumla koī dukh de jaa.e
kaun jānegā ki ham donoñ pe kyā biitī hai
is ḳhamoshī ke añdheroñ se nikal aa.eñ chalo
kisī sulge hue lahje se charāġhāñ kar leñ
chun leñ phūloñ kī tarah ham bhī matā-e-alfāz
apne ujḌe hue dāman ko gulistāñ kar leñ
chun leñ phūloñ kī tarah ham bhī matā-e-alfāz
daulat-e-dard baḌī chiiz hai iqrār karo
ne.amat-e-ġham baḌī ne.amat hai ye iz.hār karo
lafz paimān bhī iqrār bhī iz.hār bhī haiñ
tāqat-e-sabr agar ho to ye ġham-ḳhvār bhī haiñ
haath ḳhālī huuñ to ye jins-e-girāñ-bār bhī haiñ
paas koī bhī na ho phir to ye dildār bhī haiñ
haath ḳhālī hoñ to ye jins-e-girāñ-bār bhī haiñ
ye jo tum mujh se gurezāñ ho mirī baat suno
ye jo tum mujh se gurezāñ ho mirī baat suno
ye jo tum mujh se gurezan ho meri baat suno
hum isi chhoTi si duniya ke kisi raste par
itifaqan kabhi bhule se kahin mil jaen
kya hi achchha ho ki hum dusre logon ki tarah
kuchh takalluf se sahi Thahar ke kuchh baat karen
aur is arsa-e-aKHlaq-o-murawwat mein kabhi
ek pal ke liye wo saat-e-nazuk aa jae
naKHun-e-lafz kisi yaad ke zaKHmon ko chhue
ek jhijakta hua jumla koi dukh de jae
kaun jaanega ki hum donon pe kya biti hai
is KHamoshi ke andheron se nikal aaen chalo
kisi sulge hue lahje se charaghan kar len
chun len phulon ki tarah hum bhi mata-e-alfaz
apne ujDe hue daman ko gulistan kar len
chun len phulon ki tarah hum bhi mata-e-alfaz
daulat-e-dard baDi chiz hai iqrar karo
neamat-e-gham baDi neamat hai ye izhaar karo
lafz paiman bhi iqrar bhi izhaar bhi hain
taqat-e-sabr agar ho to ye gham-KHwar bhi hain
hath KHali hun to ye jins-e-giran-bar bhi hain
pas koi bhi na ho phir to ye dildar bhi hain
hath KHali hon to ye jins-e-giran-bar bhi hain
ye jo tum mujh se gurezan ho meri baat suno
ye jo tum mujh se gurezan ho meri baat suno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.