mata-e-ghair
mere ḳhvāboñ ke jharokoñ ko sajāne vaalī
tere ḳhvāboñ meñ kahīñ merā guzar hai ki nahīñ
pūchh kar apnī nigāhoñ se batā de mujh ko
merī rātoñ ke muqaddar meñ sahar hai ki nahīñ
chaar din kī ye rifāqat jo rifāqat bhī nahīñ
umr bhar ke liye āzār huī jaatī hai
zindagī yuuñ to hamesha se pareshān sī thī
ab to har saañs girāñ-bār huī jaatī hai
merī ujḌī huī nīndoñ ke shabistānoñ meñ
tū kisī ḳhvāb ke paikar kī tarah aa.ī hai
kabhī apnī sī kabhī ġhair nazar aa.ī hai
kabhī iḳhlās kī mūrat kabhī harjā.ī hai
pyaar par bas to nahīñ hai mirā lekin phir bhī
tū batā de ki tujhe pyaar karūñ yā na karūñ
tū ne ḳhud apne tabassum se jagāyā hai jinheñ
un tamannāoñ kā iz.hār karūñ yā na karūñ
tū kisī aur ke dāman kī kalī hai lekin
merī rāteñ tirī ḳhushbū se basī rahtī haiñ
tū kahīñ bhī ho tire phuul se aariz kī qasam
terī palkeñ mirī āñkhoñ pe jhukī rahtī haiñ
tere hāthoñ kī harārat tire sāñsoñ kī mahak
tairtī rahtī hai ehsās kī pahnā.ī meñ
DhūñDtī rahtī haiñ taḳh.īl kī bāñheñ tujh ko
sard rātoñ kī sulagtī huī tanhā.ī meñ
terā altāf-o-karam ek haqīqat hai magar
ye haqīqat bhī haqīqat meñ fasāna hī na ho
terī mānūs nigāhoñ kā ye mohtāt payām
dil ke ḳhuuñ karne kā ek aur bahāna hī na ho
kaun jaane mire imroz kā fardā kyā hai
qurbateñ baḌh ke pashemān bhī ho jaatī haiñ
dil ke dāman se lipaTtī huī rañgīñ nazreñ
dekhte dekhte anjān bhī ho jaatī haiñ
merī darmāñda javānī kī tamannāoñ ke
muzmahil ḳhvāb kī tābīr batā de mujh ko
tere dāman meñ gulistāñ bhī haiñ vīrāne bhī
merā hāsil merī taqdīr batā de mujh ko
mere KHwabon ke jharokon ko sajaane wali
tere KHwabon mein kahin mera guzar hai ki nahin
puchh kar apni nigahon se bata de mujh ko
meri raaton ke muqaddar mein sahar hai ki nahin
chaar din ki ye rifaqat jo rifaqat bhi nahin
umr bhar ke liye aazar hui jati hai
zindagi yun to hamesha se pareshan si thi
ab to har sans giran-bar hui jati hai
meri ujDi hui nindon ke shabistanon mein
tu kisi KHwab ke paikar ki tarah aai hai
kabhi apni si kabhi ghair nazar aai hai
kabhi iKHlas ki murat kabhi harjai hai
pyar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi
tu bata de ki tujhe pyar karun ya na karun
tu ne KHud apne tabassum se jagaya hai jinhen
un tamannaon ka izhaar karun ya na karun
tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin
meri raaten teri KHushbu se basi rahti hain
tu kahin bhi ho tere phul se aariz ki qasam
teri palken meri aankhon pe jhuki rahti hain
tere hathon ki hararat tere sanson ki mahak
tairti rahti hai ehsas ki pahnai mein
DhunDti rahti hain taKHil ki banhen tujh ko
sard raaton ki sulagti hui tanhai mein
tera altaf-o-karam ek haqiqat hai magar
ye haqiqat bhi haqiqat mein fasana hi na ho
teri manus nigahon ka ye mohtat payam
dil ke KHun karne ka ek aur bahana hi na ho
kaun jaane mere imroz ka farda kya hai
qurbaten baDh ke pasheman bhi ho jati hain
dil ke daman se lipaTti hui rangin nazren
dekhte dekhte anjaan bhi ho jati hain
meri darmanda jawani ki tamannaon ke
muzmahil KHwab ki tabir bata de mujh ko
tere daman mein gulistan bhi hain virane bhi
mera hasil meri taqdir bata de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.