mata-e-raegan
ye dard-e-zindagī kis kī amānat hai kise de duuñ
koī vāris nahīñ is kā matā-e-rā.egāñ hai ye
masīhā ab na ā.eñge yahī nashtar rag-e-jāñ meñ
ḳhalish bantā rahegā merī sāñsoñ meñ nihāñ hai ye
ḳhudāyā ham se pahle log bhī jo is zamīñ par the
yūñhī pāmāl hote the, jo is ke ba.ad ā.eñge
umīd-e-sub.h ke ḳhanjar se zaḳhmī ho ke jā.eñge?
(kahāñ jā kar rukegā qāfila in sogvāroñ kaa)
ye phir bhī tere bande haiñ tirī hī hamd gā.eñge
inheñ āñkheñ to de dī haiñ basārat bhī inheñ de de
tujhe sab DhūñDte haiñ is tarah andhe haiñ sab jaise
isī kore varaq par kuchh ibārat bhī unheñ de de
khaḌā hai muñh kiye mashriq kī jānib, koī maġhrib kī
(mirī tasvīr meñ in chīḳhte rañgoñ kī aisī kyā zarūrat thii)
ḳhudāyā baḳhsh de in be-gunāhoñ ke gunāhoñ ko
ye ma.anī DhūñDte haiñ kashmakash meñ raat aur din kī
haqīqat ko samajhnā chāhte haiñ saal aur sin kī
ye sab majbūr haiñ in par dar-e-tauba khulā rakhnā
ye duniyā ḳhauf aur lālach pe jis kī niiv rakkhī hai
isī miTTī se phūTe haiñ isī dhartī ke paale haiñ
ujālā bhī yahī haiñ is zamīñ kā aur añdherā bhī
yahī shahkār haiñ terā yahī paañv ke chhāle haiñ
(ye sab ke sab libās-e-fāḳhira meñ mailī bheḌeñ haiñ)
ilāh-al-ālamīñ in kī ḳhatā se dar-guzar karnā
bahut māzūr haiñ ye ḳhud-nigar apnī jibillat se
muqaddar in kā hai shaam o sahar ko roz sar karnā
masā.ī in kī sīm-o-zar ke Dheroñ meñ badal denā
tire paas aa.eñ, motī ke mahl mehnat kā phal denā
ye dard-e-zindagi kis ki amanat hai kise de dun
koi waris nahin is ka mata-e-raegan hai ye
masiha ab na aaenge yahi nashtar rag-e-jaan mein
KHalish banta rahega meri sanson mein nihan hai ye
KHudaya hum se pahle log bhi jo is zamin par the
yunhi pamal hote the, jo is ke baad aaenge
umid-e-subh ke KHanjar se zaKHmi ho ke jaenge?
(kahan ja kar rukega qafila in sogwaron ka)
ye phir bhi tere bande hain teri hi hamd gaenge
inhen aankhen to de di hain basarat bhi inhen de de
tujhe sab DhunDte hain is tarah andhe hain sab jaise
isi kore waraq par kuchh ibarat bhi unhen de de
khaDa hai munh kiye mashriq ki jaanib, koi maghrib ki
(miri taswir mein in chiKHte rangon ki aisi kya zarurat thi)
KHudaya baKHsh de in be-gunahon ke gunahon ko
ye mani DhunDte hain kashmakash mein raat aur din ki
haqiqat ko samajhna chahte hain sal aur sin ki
ye sab majbur hain in par dar-e-tauba khula rakhna
ye duniya KHauf aur lalach pe jis ki niw rakkhi hai
isi miTTi se phuTe hain isi dharti ke pale hain
ujala bhi yahi hain is zamin ka aur andhera bhi
yahi shahkar hain tera yahi panw ke chhaale hain
(ye sab ke sab libas-e-faKHira mein maili bheDen hain)
ilah-al-alamin in ki KHata se dar-guzar karna
bahut mazur hain ye KHud-nigar apni jibillat se
muqaddar in ka hai sham o sahar ko roz sar karna
masai in ki sim-o-zar ke Dheron mein badal dena
tere pas aaen, moti ke mahl mehnat ka phal dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.