mauhum afsane
vo afsāne kiyā hai chāñd tāroñ kā safar jin meñ
ye duniyā ek dhundlī geñd aatī hai nazar jin meñ
vo jin meñ mulk-e-barq-o-bād tak tasḳhīr hotā hai
jahāñ ik shab meñ sone kā mahal tāmīr hotā hai
achhūte-sāhiloñ ke vo sahar-ālūd vīrāne
tilismī-qasr meñ gumnām shahzādī ke afsāne
vo afsāne jo rāteñ chāñd ke barbat pe gaatī haiñ
vo afsāne jo sub.heñ ruuh ke andar jagātī haiñ
fazā kartī hai jin mauhūm afsānoñ kī tāmīreñ
bhaTakte abr meñ jin kī milīñ mub.ham sī tasvīreñ
sar-e-sāhil jo bahtī sham.a kī lau gungunātī hai
dimāġh o dil meñ jin se ik kiran sī dauḌ jaatī hai
vo afsāne jo dil ko be-kahe mahsūs hote haiñ
jo hoñToñ kī hasīñ gulnār mehrāboñ meñ sote haiñ
kisī kī nargis-e-sharsār ke mub.ham se afsāne
kisī kī zulf-e-ambar-bār ke barham se afsāne
vo jin ko is tarah kuchh jumbish-e-mizhgāñ sunātī hai
ki jaise ḳhvāb meñ bhūlī huī ik yaad aatī hai
rahā huuñ gum inhī mauhūm afsānoñ kī bastī meñ
inhī dilkash magar gumnām rūmānoñ kī bastī meñ
kisī ne toḌ Daalā ye tilism-e-kaif-o-ḳhvāb āḳhir
mirī āñkhoñ ke aage aa.e shamshīr o shabāb āḳhir
wo afsane kiya hai chand taron ka safar jin mein
ye duniya ek dhundli gend aati hai nazar jin mein
wo jin mein mulk-e-barq-o-baad tak tasKHir hota hai
jahan ek shab mein sone ka mahal tamir hota hai
achhute-sahilon ke wo sahar-alud virane
tilismi-qasr mein gumnam shahzadi ke afsane
wo afsane jo raaten chand ke barbat pe gati hain
wo afsane jo subhen ruh ke andar jagati hain
faza karti hai jin mauhum afsanon ki tamiren
bhaTakte abr mein jin ki milin mubham si taswiren
sar-e-sahil jo bahti shama ki lau gungunati hai
dimagh o dil mein jin se ek kiran si dauD jati hai
wo afsane jo dil ko be-kahe mahsus hote hain
jo honTon ki hasin gulnar mehrabon mein sote hain
kisi ki nargis-e-sharsar ke mubham se afsane
kisi ki zulf-e-ambar-bar ke barham se afsane
wo jin ko is tarah kuchh jumbish-e-mizhgan sunati hai
ki jaise KHwab mein bhuli hui ek yaad aati hai
raha hun gum inhi mauhum afsanon ki basti mein
inhi dilkash magar gumnam rumanon ki basti mein
kisi ne toD Dala ye tilism-e-kaif-o-KHwab aaKHir
meri aankhon ke aage aae shamshir o shabab aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.