mauj-e-dariya
ai hasīñ sāhil magar sotā hai tū
tere husn-e-be-ḳhabar par merī bedārī nisār
mere qatroñ kī jabīñ
muztarib sajdoñ kī duniyā-e-niyāz
āstāñ naaz par zauq-e-ibādat kā hujūm
dekh larzāñ saañs
terī diid ko aatī huuñ maiñ
gaatī huī rotī huī
aur tū
iztirār-e-fitrat-e-sīmāb kā rañg-e-adā
terī is shān-e-taġhāful par fidā
sotā hai tū
dard-e-ulfat kī asiir
terī retoñ ko agar maiñ bosa duuñ
hai yahī ik aarzū
ek jumbish ik nigāh
ik sarsarāhaT ek aah
ai mere dil kī devtā
mere ā.īne se mas.hūr-e-jamāl
tamtamā uThte haiñ taare
ġham se ho jaate haiñ dam-bhar ke liye
mun.akis hai mere dāman meñ faroġh-e-māhtāb
ḳhosha-e-parvīñ ki hai shādāb-e-ḳhūn-e-āftāb
pāniyoñ meñ lahlahātā hai ajab andāz se
husn-e-aiman kī bahār
yaad hai chashm-e-kalīm
mere dil ke devtā
sone ko huuñ
ek jumbish ik nigāh
ik sarsarāhaT ek aah
ai mere dil ke devtā
ai hasin sahil magar sota hai tu
tere husn-e-be-KHabar par meri bedari nisar
mere qatron ki jabin
muztarib sajdon ki duniya-e-niyaz
aastan naz par zauq-e-ibaadat ka hujum
dekh larzan sans
teri did ko aati hun main
gati hui roti hui
aur tu
iztirar-e-fitrat-e-simab ka rang-e-ada
teri is shan-e-taghaful par fida
sota hai tu
dard-e-ulfat ki asir
teri reton ko agar main bosa dun
hai yahi ek aarzu
ek jumbish ek nigah
ek sarsarahaT ek aah
ai mere dil ki dewta
mere aaine se mashur-e-jamal
tamtama uThte hain tare
gham se ho jate hain dam-bhar ke liye
munakis hai mere daman mein farogh-e-mahtab
KHosha-e-parwin ki hai shadab-e-KHun-e-aftab
paniyon mein lahlahata hai ajab andaz se
husn-e-aiman ki bahaar
yaad hai chashm-e-kalim
mere dil ke dewta
sone ko hun
ek jumbish ek nigah
ek sarsarahaT ek aah
ai mere dil ke dewta
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 75)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.